Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nek-dil laDkiyo

Abbas Athar

nek-dil laDkiyo

Abbas Athar

MORE BYAbbas Athar

    nek dil laḌkiyo

    aarzū numā.ish se guzro to chāroñ taraf dekhnā

    aur phir jab tumhāre lahū meñ kisī lahū sarsarā.e

    sitāroñ meñ āñkheñ chhupā kar duā māñgnā

    qaidiyoñ shā.iroñ aur mahkūm ābādiyoñ ke liye

    aur bīmār bachchoñ maañ ke liye

    aur phir narm hoñToñ hiddat se

    jab chhātiyoñ meñ havā sansanātī suno

    nek-dil laḌkiyo yaad karnā unheñ jin qīmat bhī likkhe hue dā.ere

    ek se raat din aur tanhā.iyāñ haiñ

    hamāre liye chāñd nikle na nikle ki Tahniyoñ se bichhaḌ ke sambhalne na paa.e

    havāoñ ke kandhoñ pe rote hue duur hote ga.e

    aur jab lauTne hadoñ se bhī aage nikal aa.e

    pīchhe se āvāz aa.ī palaT aao

    ham ne tumhāre liye aaj aañsū bahā.e haiñ

    ham raat ke mehmāñ haiñ magar nek-dil laḌkiyo

    aarzū numā.ish meñ chāroñ taraf dekhnā

    aur āñkhoñ tahrīr paḌhnā

    hamārī taraf jab tumhāre safar musāfir havā ke sitam se guzarne lage

    us se kahnā Thahar jaao

    mere lahū meñ tumhāre liye aarzū hai

    to ai nek-dil laḌkiyo alvidā.a

    yaad rakhnā hamārī haqīqat se guzro to aañsū bahā kar duā māñgnā

    qaidiyoñ shā.iroñ aur mahkūm ābādiyoñ ke liye

    aur bīmār bachchoñ maañ ke liye

    aur us ke liye jo tumhāre badan musāfir hai lekin

    hamāre safar shahādat hai

    nek dil laDkiyo

    aarzu ki numaish se guzro to chaaron taraf dekhna

    aur phir jab tumhaare lahu mein kisi ka lahu sarsarae

    sitaron mein aankhen chhupa kar dua mangna

    qaidiyon shairon aur mahkum aabaadiyon ke liye

    aur bimar bachchon ki man ke liye

    aur phir narm honTon ki hiddat se

    jab chhatiyon mein hawa sansanati suno

    nek-dil laDkiyo yaad karna unhen jin ki qimat bhi likkhe hue daere

    ek se raat din aur tanhaiyan hain

    hamare liye chand nikle na nikle ki Tahniyon se bichhaD ke sambhalne na pae

    hawaon ke kandhon pe rote hue dur hote gae

    aur jab lauTne ki hadon se bhi aage nikal aae

    pichhe se aawaz aai palaT aao

    hum ne tumhaare liye aaj aansu bahae hain

    hum raat ke mehman hain magar nek-dil laDkiyo

    aarzu ki numaish mein chaaron taraf dekhna

    aur aankhon ki tahrir paDhna

    hamari taraf jab tumhaare safar ka musafir hawa ke sitam se guzarne lage

    us se kahna Thahar jao

    mere lahu mein tumhaare liye aarzu hai

    to ai nek-dil laDkiyo alwidaa

    yaad rakhna hamari haqiqat se guzro to aansu baha kar dua mangna

    qaidiyon shairon aur mahkum aabaadiyon ke liye

    aur bimar bachchon ki man ke liye

    aur us ke liye jo tumhaare badan ka musafir hai lekin

    hamare safar ki shahadat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now