Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nihaari

Yasir Farooq

nihaari

Yasir Farooq

MORE BYYasir Farooq

    sub.h ko abbū laa.e nihārī

    baḌe maze haa.e nihārī

    taḌke ye tayyār huī hai

    ḳhilqat ik hushiyār huī hai

    raat se bantī jaa.e nihārī

    baḌe maze haa.e nihārī

    paḌe haiñ is meñ ḳhuub masāle

    jhuum jaa.e jo bhī khā le

    manzar kyā dikhlā.e nihārī

    baḌe maze haa.e nihārī

    khāyā is ko dhīre dhīre

    saath liye the naan ḳhamīre

    maza to phir kyā laa.e nihārī

    baḌe maze haa.e nihārī

    nalī bhī taire is ke uupar

    dekho kaisā hai ye manzar

    bhuuk to aur baḌhā.e nihārī

    baḌe maze haa.e nihārī

    adrak līmūñ uupar Daalā

    maza huā to baḌā do-bālā

    ġhazab baḌā Dhaa.e nihārī

    baḌe maze haa.e nihārī

    sub.h savere mil paa.e

    der huī to bye bye

    jaldī bahut uThā.e nihārī

    baḌe maze haa.e nihārī

    taayā chachā bhī the aa.e

    māmūñ phūphā raat bulā.e

    mahfil ḳhuub jamā.e nihārī

    baḌe maze haa.e nihārī

    qaisar nāsir nonī raanā

    sab hai marġhūb ye khānā

    vaah vaah kyā chhā.e nihārī

    baḌe maze haa.e nihārī

    apnā hai ye qaumī khānā

    shaidā to har ek gharānā

    ḳhushī se 'yāsir' khaa.e nihārī

    baḌe maze haa.e nihārī

    subh ko abbu lae nihaari

    baDe maze ki hae nihaari

    taDke ye tayyar hui hai

    KHilqat ek hushiyar hui hai

    raat se banti jae nihaari

    baDe maze ki hae nihaari

    paDe hain is mein KHub masale

    jhum hi jae jo bhi kha le

    manzar kya dikhlae nihaari

    baDe maze ki hae nihaari

    khaya is ko dhire dhire

    sath liye the nan KHamire

    maza to phir kya lae nihaari

    baDe maze ki hae nihaari

    nali bhi taire is ke upar

    dekho kaisa hai ye manzar

    bhuk to aur baDhae nihaari

    baDe maze ki hae nihaari

    adrak limun upar Dala

    maza hua to baDa do-baala

    ghazab baDa hi Dhae nihaari

    baDe maze ki hae nihaari

    subh sawere hi mil pae

    der hui to bye bye

    jaldi bahut uThae nihaari

    baDe maze ki hae nihaari

    taya chacha bhi the aae

    mamun phupha raat bulae

    mahfil KHub jamae nihaari

    baDe maze ki hae nihaari

    qaisar nasir noni rana

    sab ka hai marghub ye khana

    wah wah kya hi chhae nihaari

    baDe maze ki hae nihaari

    apna hai ye qaumi khana

    shaida to har ek gharana

    KHushi se 'yasir' khae nihaari

    baDe maze ki hae nihaari

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now