Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nili qindil

Khalid Ghani

nili qindil

Khalid Ghani

MORE BYKhalid Ghani

    hamārā ruj.hān yaqīnan harāmī-an tak chukā hai

    hamāre saroñ par ḳhauf musallat ho rahā hai

    kyā ham junūn had jāgte hue jazbāt nahīñ bak rahe

    vāqa.ī hamārī bedārī

    ek sochī-samjhī sāzish hai

    ham ne junūn had tak ishq kiyā

    ham ne junūn had tak mubāsharat lutf liyā

    ab hameñ hamārā kal jhiñjhoḌ rahā hai

    use kaise alag kareñ

    be-fikr be-ḳhauf kutte haDDiyoñ par laḌte hue

    ab hamārī taraf lapak rahe haiñ

    us ke muñh se girtā huā safed jhaag

    zamīn ko tarī pahuñchā chukā

    aur isī tar hotī zamīn se ek nāzuk paudā

    uug kar

    bahut saare pighalte hue savāloñ

    ke javāb

    nā-qābil-e-yaqīn sachchā.ī ke dosh par

    pTriyoñ ke hare hare pattoñ

    ḳhāmosh chhāñv meñ phisalte jā.eñge

    hamara rujhan yaqinan harami-an tak ja chuka hai

    hamare saron par KHauf musallat ho raha hai

    kya hum junun ki had jagte hue jazbaat nahin bak rahe

    waqai hamari bedari

    ek sochi-samjhi sazish hai

    hum ne junun ki had tak ishq kiya

    hum ne junun ki had tak mubasharat ka lutf liya

    ab hamein hamara hi kal jhinjhoD raha hai

    use kaise alag karen

    be-fikr be-KHauf kutte haDDiyon par laDte hue

    ab hamari taraf lapak rahe hain

    us ke munh se girta hua safed jhag

    zamin ko tari pahuncha chuka

    aur isi tar hoti zamin se ek nazuk pauda

    ug kar

    bahut sare pighalte hue sawalon

    ke jawab

    na-qabil-e-yaqin sachchai ke dosh par

    pTriyon ke hare hare patton

    ki KHamosh chhanw mein phisalte jaenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now