nim-sargoshi ka manzar
vo lafz kā rasiyā hai us
kī dil-nashīñ tanzīm kā
tartīb kā asvāt kā
girte hue ko thāmtā
hai rāh-paimā ko sikhātā hai ḳhirām-e-nāz kā
andāz lutf-e-lazzat-e-purkār raqs-e-munzabit kī āhanī
parvāz shāyad zard ḳhākī ko tamannā-e-subuk
be-jāñ hai lazzat kī amiiñ
tarkīb kī tā'rīf kī zohra-jabīñ
ye tarbiyat-zāda musalsal raqs kartā hai sar-e-bāzār amboh-e-farāvāñ daad de
vo sochtā hai rāt-bhar vo āḳhirī
sāhir hai ab ḳhvāboñ kī bastī kā magar
har raat kā manzar chaTaḳhtā hai to reza-reza ho kar shāh-rāhoñ par bikhartā hai yahāñ
is hāo-hū meñ roz-o-shab
bedār hotā hai anokhā ajnabī
jo lafz ke rasiyā kā dushman bhī nahīñ
ham-zād bhī shāyad nahīñ
jo nīm-sargoshī kā vahshī ġhair pā-basta sā manzar naqsh kartā hai pareshāñ shahr meñ
tartīb ke har dā.ere
se log kahte haiñ vo shāyad māvarā
hai ajnabī ko qatl kar do dafn kar do ajnabī ab zer-e-lab ab roz-o-shab
sarshār mahshar ḳhalq kartā hai hirāsāñ shahr meñ
wo lafz ka rasiya hai us
ki dil-nashin tanzim ka
tartib ka aswat ka
girte hue ko thamta
hai rah-paima ko sikhata hai KHiram-e-naz ka
andaz lutf-e-lazzat-e-purkar raqs-e-munzabit ki aahani
parwaz shayad zard KHaki ko tamanna-e-subuk
be-jaan hai lazzat ki amin
tarkib ki ta'rif ki zohra-jabin
ye tarbiyat-zada musalsal raqs karta hai sar-e-bazar amboh-e-farawan dad de
wo sochta hai raat-bhar wo aaKHiri
sahir hai ab KHwabon ki basti ka magar
har raat ka manzar chaTaKHta hai to reza-reza ho kar shah-rahon par bikharta hai yahan
is hao-hu mein roz-o-shab
bedar hota hai anokha ajnabi
jo lafz ke rasiya ka dushman bhi nahin
ham-zad bhi shayad nahin
jo nim-sargoshi ka wahshi ghair pa-basta sa manzar naqsh karta hai pareshan shahr mein
tartib ke har daere
se log kahte hain wo shayad mawara
hai ajnabi ko qatl kar do dafn kar do ajnabi ab zer-e-lab ab roz-o-shab
sarshaar mahshar KHalq karta hai hirasan shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.