Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind

MORE BYMakhdoom Mohiuddin

    ye kis paikar rañgīnī simaT kar dil meñ aatī hai

    mirī be-kaif tanhā.ī ko yuuñ rañgīñ banātī hai

    ye kis jumbish-e-mizhgāñ raubāb-e-dil ko chhūtī hai

    ye kis ke pairahan sarsarāhaT gungunātī hai

    mirī āñkhoñ meñ kis shoḳhī-e-lab tasavvur hai

    ki jis ke kaif se āñkhoñ meñ merī niiñd aatī hai

    sukūt aur shāñtī ke har qadam par phuul barsātī

    asīr-e-kākul-e-shab-gūñ banā kar muskurātī hai

    mirī āñkhoñ meñ ghul jaatī hai vo kaif-e-nazar ban kar

    mujhe qaus-e-quzah chhāñv meñ pahroñ sulātī hai

    sahar tak vo mujhe chimTā.e rakhtī hai kaleje se

    dabe paañv kiran ḳhurshīd aa kar jagātī hai

    ye kis paikar ki rangini simaT kar dil mein aati hai

    meri be-kaif tanhai ko yun rangin banati hai

    ye kis ki jumbish-e-mizhgan raubab-e-dil ko chhuti hai

    ye kis ke pairahan ki sarsarahaT gungunati hai

    meri aankhon mein kis ki shoKHi-e-lab ka tasawwur hai

    ki jis ke kaif se aankhon mein meri nind aati hai

    sukut aur shanti ke har qadam par phul barsati

    asir-e-kakul-e-shab-gun bana kar muskuraati hai

    meri aankhon mein ghul jati hai wo kaif-e-nazar ban kar

    mujhe qaus-e-quzah ki chhanw mein pahron sulati hai

    sahar tak wo mujhe chimTae rakhti hai kaleje se

    dabe panw kiran KHurshid ki aa kar jagati hai

    Source:

    Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 124)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd.
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now