nirasha
tā'bīroñ ko rūThā pā kar
sapne bunñā chhoḌ diyā hai
ḳhushiyāñ mujh ko raas na aa.iiñ
ġham se rishta joḌ liyā hai
ab kis ko fursat hai itnī
kaun kisī ke ġham meñ ro.e
sab haiñ apnī apnī dhun meñ
sab haiñ apne ġham meñ kho.e
pyaar baḌhānā pyaar nibhānā
aaj koī dastūr nahīñ hai
dil se ḳhushiyoñ kā rishta ho
duniyā ko manzūr nahīñ hai
ḳhud meñ gum-sum duniyā saarī
kahne sunñe se bezārī
apnī biptā kis ko sunā.ūñ
bojh hai mere man par bhārī
pyaar kī man meñ aashā le kar
dvāre dvāre ghuum liyā hai
tā'bīroñ ko rūThā pā kar
sapne bunñā chhoḌ diyā hai
ta'biron ko ruTha pa kar
sapne bunna chhoD diya hai
KHushiyan mujh ko ras na aain
gham se rishta joD liya hai
ab kis ko fursat hai itni
kaun kisi ke gham mein roe
sab hain apni apni dhun mein
sab hain apne gham mein khoe
pyar baDhana pyar nibhana
aaj koi dastur nahin hai
dil se KHushiyon ka rishta ho
duniya ko manzur nahin hai
KHud mein gum-sum duniya sari
kahne sunne se bezari
apni bipta kis ko sunaun
bojh hai mere man par bhaari
pyar ki man mein aasha le kar
dware dware ghum liya hai
ta'biron ko ruTha pa kar
sapne bunna chhoD diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.