Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nirmal miThe pani ki talash

Shafiq Fatima Shera

nirmal miThe pani ki talash

Shafiq Fatima Shera

MORE BYShafiq Fatima Shera

    vo mirā vahm

    ki jhoñkā koī sabz-qabā thā

    jise dekhā

    kisī chahkār ḳhunkī bhī fazā meñ jo bikhartī

    to ye khultā

    ki abhī khoj hai āġhāz abhī khoj hai parvāz

    kabhī yuuñ bhī to hotā hai ki ho khoj yahī

    raakh muTThī meñ dabī adh-jalī pattī

    vahī ma.amūl-e-shab-o-roz

    ki bedād bedād hai

    randā jo lagātār rahe phertā apnā

    tauba har zāviya hamvār

    ba-har zāviya chhil chhil ke gavārā

    kahīñ ho jaa.e na be-sāḳhta fariyād

    ye dhaḌkā banā rahtā hai dil meñ

    vo tane TuuT rahe haiñ

    jo qadam the jo bharam the

    ki koī lafz na paayā na kisī lafz mafhūm

    jo paanī badal ho

    vo tane chhān ke ḳhāmosh taheñ ḳhaak

    ḳhāmosh taheñ āñsū-e-aflāk

    lauT aa.e vahīñ

    apnī sisaktī huī paimūda hadoñ meñ

    yahī āsār fazāoñ ke khule-pan se mozāhim

    jo guzargāh meñ sailāb hote

    to kisī moḌ par muḌte hue

    shabnam nam-o-narm bichhaunā unheñ miltā

    to do sad resha anāsir vo gale biij

    zarā der ko ho jaate vahīñ Dher maze meñ

    kaf-e-sailāb meñ uljhe hue ḳhāshāk meñ poshīda

    vo juḌ juḌ ke baham

    chain se sote

    ki abhī der hai elān-e-sahar hone meñ

    elān-e-sahar pahle sune jo bhī sahar-ḳhez

    vo auroñ ko bhī jaag uThne

    paimān-e-farāmosh shuda

    yaad dilā.e

    yahī kaliyoñ ke tabassum meñ ghulī yād-dahānī

    jo ThiThur jaa.e samā.at

    to samā.at ke liye ek anokhī dhamāka

    ye mirā vahm shagūnī mirī zanjīr

    koī añdhkār utar aa.e jo pāyāb gumānoñ meñ

    to pāyāb gumānoñ meñ

    utar aatī hai gahrā.ī yaqīñ

    koī sayyāh sayārsī jhalkār utar aa.e

    jo Thahre hue paanī meñ

    to Thahre hue paanī meñ

    ravānī mushāhid

    mirī āshufta-nigāhī

    vo kahāñ phir bhī magar lahr tale lahr ta.amīr

    ki de jis pe jigar-e-tishna-tamannā bhī gavāhī

    jo vo ik sat.h-e-garāñ-māya hai

    ik qa.ar-e-balā-ḳhez

    ubhartā huā mallāh

    utartā huā aġhvāz

    jahāñ vahm nahīñ

    zinda-o-tābinda haqīqat hai dil-āvez

    koī hiire kanī ki hai tīnat meñ sirishta

    kabhī āvāz lau ban ga.ī

    āfāq-ba-āfāq palaTtī huī aurāq

    kabhī chhantī rahī āñkhoñ se paiham sifat-e-ashk

    badaltā huā rasta

    tah-e-dariyā se dahaktī huī baalū meñ

    nikaltā huā rasta

    jise dekhā

    vo mirā vahm nahīñ merā yaqīñ thā

    koī buuTā jo khaḌā hai

    to yahī kaam hai us

    ki ḳhazāne patā pūchhne vāloñ ko batā.e

    jo ḳhalāoñ aqab hai

    vo ḳhalā kab hai ḳhalā kab

    jo vahāñ bhī

    isī kamlī kinārā ho

    kisī daur ke imkāñ jhalaktā

    to vahāñ bhī vahī phailāv chhalaktā hai chamaktā hai

    sahar-rañg dhundalke meñ

    siyah-chashm tajallī ḳhunuk-tāb talāzum

    to jigar-soḳhtgān-e-do-jahāñ

    kaun hai phir khoj meñ sargarm

    ye tum

    gher ke laa.e ga.e tum

    vo nazar manzilat-ārā nazar sāhab-e-kausar hai

    ki hai gasht meñ bedār

    jise dekhā

    vo ishārā ki haañ jauf-e-adam

    jauf-e-adam meñ bhī jo mumkin hai

    ḳhud-ārā.ī ke aalam meñ ye faizān aalam

    to ye hairat Thikāna nahīñ

    TuuTe hue ā.īno

    ye juḌ jaane manzil

    ye jilā paane hai

    wo mera wahm

    ki jhonka sa koi sabz-qaba tha

    jise dekha

    kisi chahkar ki KHunki bhi faza mein jo bikharti

    to ye khulta

    ki abhi khoj hai aaghaz abhi khoj hai parwaz

    kabhi yun bhi to hota hai ki ho khoj yahi

    rakh ki muTThi mein dabi adh-jali patti

    wahi mamul-e-shab-o-roz

    ki bedad hi bedad hai

    randa jo lagatar rahe pherta apna

    tauba har zawiya hamwar

    ba-har zawiya chhil chhil ke gawara

    kahin ho jae na be-saKHta fariyaad

    ye dhaDka sa bana rahta hai dil mein

    wo tane TuT rahe hain

    jo qadam the jo bharam the

    ki koi lafz na paya na kisi lafz ka mafhum

    jo pani ka badal ho

    wo tane chhan ke KHamosh tahen KHak ki

    KHamosh tahen aansu-e-aflak ki

    lauT aae wahin

    apni sisakti hui paimuda hadon mein

    yahi aasar fazaon ke khule-pan se mozahim

    jo guzargah mein sailab ki hote

    to kisi moD par muDte hue

    shabnam ka nam-o-narm bichhauna unhen milta

    to do sad resha anasir wo gale bij

    zara der ko ho jate wahin Dher maze mein

    kaf-e-sailab mein uljhe hue KHashak mein poshida

    wo juD juD ke baham

    chain se sote

    ki abhi der hai elan-e-sahar hone mein

    elan-e-sahar pahle sune jo bhi sahar-KHez

    wo auron ko bhi jag uThne ka

    paiman-e-faramosh shuda

    yaad dilae

    yahi kaliyon ke tabassum mein ghuli yaad-dahani

    jo ThiThur jae samaat

    to samaat ke liye ek anokhi sa dhamaka

    ye mera wahm shaguni meri zanjir

    koi andhkar utar aae jo payab gumanon mein

    to payab gumanon mein

    utar aati hai gahrai yaqin si

    koi sayyah si sayarsi jhalkar utar aae

    jo Thahre hue pani mein

    to Thahre hue pani mein

    rawani ki mushahid

    meri aashufta-nigahi

    wo kahan phir bhi magar lahr tale lahr ki tamir

    ki de jis pe jigar-e-tishna-tamanna bhi gawahi

    jo wo ek sath-e-garan-maya hai

    ek qar-e-bala-KHez

    ubharta hua mallah

    utarta hua aghwaz

    jahan wahm nahin

    zinda-o-tabinda haqiqat hai dil-awez

    koi hire ki kani si ki hai tinat mein sirishta

    kabhi aawaz ki lau ban gai

    aafaq-ba-afaq palaTti hui auraq

    kabhi chhanti rahi aankhon se paiham sifat-e-ashk

    tu badalta hua rasta

    tah-e-dariya se dahakti hui baalu mein

    nikalta hua rasta

    jise dekha

    wo mera wahm nahin mera yaqin tha

    koi buTa jo khaDa hai

    to yahi kaam hai us ka

    ki KHazane ka pata puchhne walon ko batae

    jo KHalaon ka aqab hai

    wo KHala kab hai KHala kab

    jo wahan bhi

    isi kamli ka kinara ho

    kisi daur ke imkan sa jhalakta

    to wahan bhi wahi phailaw chhalakta hai chamakta hai

    sahar-rang dhundalke mein

    siyah-chashm tajalli ka KHunuk-tab talazum

    to jigar-soKHtgan-e-do-jahan

    kaun hai phir khoj mein sargarm

    ye tum

    gher ke lae gae tum

    ya wo nazar manzilat-ara nazar sahab-e-kausar hai

    ki hai gasht mein bedar

    jise dekha

    wo ishaara sa ki han jauf-e-adam

    jauf-e-adam mein bhi jo mumkin hai

    KHud-arai ke aalam mein ye faizan ka aalam

    to ye hairat ka Thikana nahin

    TuTe hue aaino

    ye juD jaane ki manzil

    ye jila pane ki ja hai

    Source:

    Silsila-e-Mukalmat (Pg. 80)

    • Author: Shafiq Fatima Shera
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now