nur-jahan

MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehelvi

  har jalva jahāñgīr thā jis vaqt javāñ thī

  kahte haiñ jise nūr-jahāñ nūr-e-jahāñ thī

  thā huur TukḌā but-e-tannāz mukhḌā

  ik sham.a thī fānūs meñ jo nūr-fishāñ thī

  andāz meñ shoḳhī meñ karishme meñ adā meñ

  talvār thī barchhī thī kaTārī thī sināñ thī

  ruḳhsār-e-jahāñ-tāb paḌtī thiiñ shuā.eñ

  husn ke dariyā se koī mauj ravāñ thī

  bijlī thī chamaktī huī dāmāñ-e-shafaq meñ

  mauj-e-tabassum thī laboñ meñ jo nihāñ thī

  gulzār-e-ma.ānī chahaktī huī bulbul

  shā.ir thī suḳhan-sanj thī ejāz-e-bayāñ thī

  betāb huā jaatā hai dil zikr se us ke

  kyā pūchhte ho kaun thī vo aur kahāñ thī

  duniyā-e-tadabbur meñ thī yaktā-e-zamāna

  haath us ke the aur un meñ hukūmat inaañ thī

  dastūr-e-adālat ke liye us qalam thā

  farmān-e-re.āyā ke liye us zabāñ thī

  vo sham-e-shab-afroz thī parvāna jahāñgīr

  ye baat bhī donoñ mohabbat se ayaañ thī

  lahore meñ dekhā use madfūñ tah-e-marqad

  gard-e-kaf-e-pā jis kabhī kāhkashāñ thī

  paivand-e-zamīñ ho ga.e ab kaun batā.e

  'kaifī' ye jahāñgīr thā vo nūr-jahāñ thī

  har jalwa jahangir tha jis waqt jawan thi

  kahte hain jise nur-jahan nur-e-jahan thi

  tha hur ka TukDa but-e-tannaz ka mukhDa

  ek shama thi fanus mein jo nur-fishan thi

  andaz mein shoKHi mein karishme mein ada mein

  talwar thi barchhi thi kaTari thi sinan thi

  ruKHsar-e-jahan-tab ki paDti thin shuaen

  ya husn ke dariya se koi mauj rawan thi

  bijli thi chamakti hui daman-e-shafaq mein

  ya mauj-e-tabassum thi labon mein jo nihan thi

  gulzar-e-maani ki chahakti hui bulbul

  shair thi suKHan-sanj thi ejaz-e-bayan thi

  betab hua jata hai dil zikr se us ke

  kya puchhte ho kaun thi wo aur kahan thi

  duniya-e-tadabbur mein thi yakta-e-zamana

  hath us ke the aur un mein hukumat ki inan thi

  dastur-e-adalat ke liye us ka qalam tha

  farman-e-reaya ke liye us ki zaban thi

  wo sham-e-shab-afroz thi parwana jahangir

  ye baat bhi donon ki mohabbat se ayan thi

  lahore mein dekha use madfun tah-e-marqad

  gard-e-kaf-e-pa jis ki kabhi kahkashan thi

  paiwand-e-zamin ho gae ab kaun batae

  'kaifi' ye jahangir tha wo nur-jahan thi

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY