Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nura

MORE BYAsrarul Haq Majaz

    Interesting Fact

    Nars ki chaara-garii

    vo nau-ḳhez nuurā vo ik bint-e-maryam

    vo maḳhmūr āñkheñ vo gesu-e-pur-ḳham

    vo arz-e-kalīsā ik māh-pāra

    vo dair-o-haram ke liye ik sharāra

    vo firdaus-e-maryam ik ġhuncha-e-tar

    vo taslīs duḳhtar-e-nek-aḳhtar

    vo ik nurse thī chāra-gar jis ko kahiye

    madāvā-e-dard-e-jigar jis ko kahiye

    javānī se tiflī gale mil rahī thī

    havā chal rahī thī kalī khil rahī thī

    vo pur-ro.ab tevar vo shādāb chehra

    matā-e-javānī pe fitrat pahra

    mirī hukmarānī hai ahl-e-zamīñ par

    ye tahrīr thā saaf us jabīñ par

    safed aur shaffāf kapḌe pahan kar

    mire paas aatī thī ik huur ban kar

    vo ik āsmānī farishta thī goyā

    ki andāz thā us meñ jibra.īl

    vo ik marmarīñ huur ḳhuld-e-barīñ

    vo ta.abīr aazar ke ḳhvāb-e-hasīñ

    vo taskīn-e-dil thī sukūn-e-nazar thī

    nigār-e-shafaq thī jamāl-e-nazar thī

    vo sho.ala vo bijlī vo jalva vo partav

    sulaimāñ vo ik kanīz-e-subuk-rau

    kabhī us shoḳhī meñ sanjīdgī thī

    kabhī us sanjīdgī meñ bhī shoḳhī

    ghaḌī chup ghaḌī karne lagtī thī bāteñ

    sirhāne mire kaaT detī thī rāteñ

    ajab chiiz thī vo ajab raaz thī vo

    kabhī soz thī vo kabhī saaz thī vo

    naqāhat ke aalam meñ jab aañkh uThtī

    nazar mujh ko aatī mohabbat devī

    vo us vaqt ik paikar-e-nūr hotī

    taḳhayyul parvāz se duur hotī

    hañsātī thī mujh ko sulātī thī mujh ko

    davā apne hāthoñ se mujh ko pilātī

    ab achchhe ho har roz muzhda sunātī

    sirhāne mire ek din sar jhukā.e

    vo baiThī thī takiye pe kuhnī Tikā.e

    ḳhayālāt-e-paiham meñ khoī huī

    na jaagī huī na soī huī

    jhapaktī huī baar baar us palkeñ

    jabīñ par shikan be-qarār us palkeñ

    vo āñkhoñ ke sāġhar chhalakte hue se

    vo aariz ke sho.ale bhaḌakte hue se

    laboñ meñ thā la.al-o-gohar ḳhazāna

    nazar ārifāna adā rāhibāna

    mahak gesuoñ se chalī aa rahī thī

    mire har nafas meñ basī rahī thī

    mujhe leTe leTe sharārat sūjhī

    jo sūjhī bhī to kis qayāmat sūjhī

    zarā baḌh ke kuchh aur gardan jhukā

    lab-e-la.al-e-afshāñ se ik shai churā

    vo shai jis ko ab kyā kahūñ kyā samajhiye

    behisht-e-javānī tohfa samajhiye

    sharāb-e-mohabbat ik jām-e-rañgīñ

    subū-zār-e-fitrat ik jām-e-rañgīñ

    maiñ samjhā thā shāyad bigaḌ jā.egī vo

    havāoñ se laḌtī hai laḌ jā.egī vo

    maiñ dekhūñgā us ke bipharne aalam

    javānī ġhussa bikharne aalam

    idhar dil meñ ik shor-e-mahshar bapā thā

    magar us taraf rañg dūsrā thā

    hañsī aur hañsī is tarah khilkhilā kar

    ki sham-e-hayā rah ga.ī jhilmilā kar

    nahīñ jāntī hai mirā naam tak vo

    magar bhej detī hai paiġhām tak vo

    ye paiġhām aate rahte haiñ akasr

    ki kis roz aaoge bīmār ho kar

    wo nau-KHez nura wo ek bint-e-maryam

    wo maKHmur aankhen wo gesu-e-pur-KHam

    wo arz-e-kalisa ki ek mah-para

    wo dair-o-haram ke liye ek sharara

    wo firdaus-e-maryam ka ek ghuncha-e-tar

    wo taslis ki duKHtar-e-nek-aKHtar

    wo ek nurse thi chaara-gar jis ko kahiye

    madawa-e-dard-e-jigar jis ko kahiye

    jawani se tifli gale mil rahi thi

    hawa chal rahi thi kali khil rahi thi

    wo pur-roab tewar wo shadab chehra

    mata-e-jawani pe fitrat ka pahra

    meri hukmarani hai ahl-e-zamin par

    ye tahrir tha saf us ki jabin par

    safed aur shaffaf kapDe pahan kar

    mere pas aati thi ek hur ban kar

    wo ek aasmani farishta thi goya

    ki andaz tha us mein jibrail ka sa

    wo ek marmarin hur KHuld-e-barin ki

    wo tabir aazar ke KHwab-e-hasin ki

    wo taskin-e-dil thi sukun-e-nazar thi

    nigar-e-shafaq thi jamal-e-nazar thi

    wo shoala wo bijli wo jalwa wo partaw

    sulaiman ki wo ek kaniz-e-subuk-rau

    kabhi us ki shoKHi mein sanjidgi thi

    kabhi us ki sanjidgi mein bhi shoKHi

    ghaDi chup ghaDi karne lagti thi baaten

    sirhane mere kaT deti thi raaten

    ajab chiz thi wo ajab raaz thi wo

    kabhi soz thi wo kabhi saz thi wo

    naqahat ke aalam mein jab aankh uThti

    nazar mujh ko aati mohabbat ki dewi

    wo us waqt ek paikar-e-nur hoti

    taKHayyul ki parwaz se dur hoti

    hansati thi mujh ko sulati thi mujh ko

    dawa apne hathon se mujh ko pilati

    ab achchhe ho har roz muzhda sunati

    sirhane mere ek din sar jhukae

    wo baiThi thi takiye pe kuhni Tikae

    KHayalat-e-paiham mein khoi hui si

    na jagi hui si na soi hui si

    jhapakti hui bar bar us ki palken

    jabin par shikan be-qarar us ki palken

    wo aankhon ke saghar chhalakte hue se

    wo aariz ke shoale bhaDakte hue se

    labon mein tha lal-o-gohar ka KHazana

    nazar aarifana ada rahibana

    mahak gesuon se chali aa rahi thi

    mere har nafas mein basi ja rahi thi

    mujhe leTe leTe shararat ki sujhi

    jo sujhi bhi to kis qayamat ki sujhi

    zara baDh ke kuchh aur gardan jhuka li

    lab-e-lal-e-afshan se ek shai chura li

    wo shai jis ko ab kya kahun kya samajhiye

    behisht-e-jawani ka tohfa samajhiye

    sharab-e-mohabbat ka ek jam-e-rangin

    subu-zar-e-fitrat ka ek jam-e-rangin

    main samjha tha shayad bigaD jaegi wo

    hawaon se laDti hai laD jaegi wo

    main dekhunga us ke bipharne ka aalam

    jawani ka ghussa bikharne ka aalam

    idhar dil mein ek shor-e-mahshar bapa tha

    magar us taraf rang hi dusra tha

    hansi aur hansi is tarah khilkhila kar

    ki sham-e-haya rah gai jhilmila kar

    nahin jaanti hai mera nam tak wo

    magar bhej deti hai paigham tak wo

    ye paigham aate hi rahte hain akasr

    ki kis roz aaoge bimar ho kar

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    Unknown

    Source:

    Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 114)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now