pahla wali
kahā kisī ne aadmī haiñ ham
hamāre dam se hai zamīñ pe zindagī kā nuur
zamīñ pe ham ne āsmāñ ke pā liye rumūz
ye kahkashā.eñ haiñ hamāre rāste kī dhuul
hamārā paañv chāñd kī jabīñ kā iftiḳhār
hamāre sar uThe ye faḳhr-o-imbisāt
tumhīñ kaho ki aadmī haiñ ham
nahīñ tum aadmī nahīñ
abhī to tum daraḳht ke maqām par bhī aa sake nahīñ ḳhizāñ kā imtihān ho to sab daraḳht sar jhukā.e sogvār haiñ
agar bahār luuT le to sab ke sab shagūfe deñ magar jhuke hue
charind aur parind kī āmājgāh daraḳht
bechain jism-o-jān kī 'ilāj-gāh daraḳht
aur ek tum ki apne ham-nashīn kā hī chhīnte ho rizq
agar ho bebasī to phir kisī ke haath meñ vahī
kulhāḌā sauñp kar tamāshā dekhte ho yuuñ
ki jaise dekhte nahīñ
nahīñ tum aadmī nahīñ
abhī to tum daraḳht ke maqām par bhī aa sake nahīñ
kaha kisi ne aadmi hain hum
hamare dam se hai zamin pe zindagi ka nur
zamin pe hum ne aasman ke pa liye rumuz
ye kahkashaen hain hamare raste ki dhul
hamara panw chand ki jabin ka iftiKHar
hamare sar uThe ye faKHr-o-imbisat
tumhin kaho ki aadmi hain hum
nahin tum aadmi nahin
abhi to tum daraKHt ke maqam par bhi aa sake nahin KHizan ka imtihan ho to sab daraKHt sar jhukae sogwar hain
agar bahaar luT le to sab ke sab shagufe den magar jhuke hue
charind aur parind ki aamajgah daraKHt
bechain jism-o-jaan ki 'ilaj-gah daraKHt
aur ek tum ki apne ham-nashin ka hi chhinte ho rizq
agar ho bebasi to phir kisi ke hath mein wahi
kulhaDa saunp kar tamasha dekhte ho yun
ki jaise dekhte nahin
nahin tum aadmi nahin
abhi to tum daraKHt ke maqam par bhi aa sake nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.