Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahle mausam ke baad

Tanveer Anjum

pahle mausam ke baad

Tanveer Anjum

MORE BYTanveer Anjum

    janm pahlā dev-mālā.ī mausam guzar gayā

    aur tum ruk ga.e

    āḳhirī qadam ke aage dīvār īñTeñ chunte chunte raat ho ga.ī

    to maiñ ne sochā

    jaane zanjīroñ tuul kaun se mausam se kaun se mausam tak hai

    magar aage sirf lā-mahdūdiat hai phir dīvār

    jis īñToñ gaarā vaqt miTTī se banā hai

    tanhā.ī paanī āḳhirī qadam ke aage dīvār ko mazbūt kar detā hai

    to achānak raat apnā sar uThātī hai

    tumheñ nahīñ mālūm

    saañp Dasne se pahle kitnī der phan phailā.e khaḌā rahā

    aur tum kahāñ ruke the

    aur apne aage dīvār bulandī ke sāmne

    tumheñ kuchh nahīñ mālūm

    sirf ek baat ke sivā

    ki har janm sirf ek dev-mālā.ī mausam hotā hai

    janm ka pahla dew-malai mausam guzar gaya

    aur tum ruk gae

    aaKHiri qadam ke aage diwar ki inTen chunte chunte raat ho gai

    to main ne socha

    jaane zanjiron ka tul kaun se mausam se kaun se mausam tak hai

    magar aage sirf la-mahdudiat hai ya phir diwar

    jis ki inTon ka gara waqt ki miTTi se bana hai

    tanhai ka pani aaKHiri qadam ke aage diwar ko mazbut kar deta hai

    to achanak raat apna sar uThati hai

    tumhein nahin malum

    sanp Dasne se pahle kitni der phan phailae khaDa raha

    aur tum kahan ruke the

    aur apne aage diwar ki bulandi ke samne

    tumhein kuchh nahin malum

    sirf ek baat ke siwa

    ki har janm ka sirf ek hi dew-malai mausam hota hai

    Source:

    Andekhi Lahren(rekhta website) (Pg. 34)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now