paigham-e-wafa
terī āñkhoñ meñ jhalaktā huā paiġhām-e-vafā
sochtā huuñ ki koī ḳhvāb-e-pareshāñ to nahīñ
ye tabassum ye tavajjoh ye taqāzā-e-nazar
merī barbādī-e-dil kā kahīñ sāmāñ to nahīñ
terī pur-shauq nigāhoñ kā ye rangīn payām
kyā ḳhabar hai kisī uftād kā paiġhām na ho
maiñ ne samjhā hai jise apne liye hī maḳhsūs
vo taqāzā tirī nazroñ kā kahīñ 'aam na ho
ḳhair maanā na sahī 'aam tirā 'ahd-e-vafā
phir bhī ye sham' tire dil meñ farozāñ kyoñ hai
terā ye lutf-o-karam terā ye andāz-e-nazar
saḳht hairāñ huuñ ki mere liye arzāñ kyoñ hai
rishta-e-mehr-o-vafā ek hasīñ ḳhvāb sahī
lekin is ḳhvāb kī tā'bīr se Dar lagtā hai
ye vafā maslahat-andesh bhī ho saktī hai
is chamaktī huī zanjīr se Dar lagtā hai
merī ḳhvābīda umangoñ ko jagāne vaalī
terī vārafta nigāhoñ kā yaqīñ to kar luuñ
apne altāf kā mafhūm samajh lene de
maiñ zarā tajziya-e-'ahd-e-hasīñ to kar luuñ
teri aankhon mein jhalakta hua paigham-e-wafa
sochta hun ki koi KHwab-e-pareshan to nahin
ye tabassum ye tawajjoh ye taqaza-e-nazar
meri barbaadi-e-dil ka kahin saman to nahin
teri pur-shauq nigahon ka ye rangin payam
kya KHabar hai kisi uftad ka paigham na ho
main ne samjha hai jise apne liye hi maKHsus
wo taqaza teri nazron ka kahin 'am na ho
KHair mana na sahi 'am tera 'ahd-e-wafa
phir bhi ye sham' tere dil mein farozan kyon hai
tera ye lutf-o-karam tera ye andaz-e-nazar
saKHt hairan hun ki mere liye arzan kyon hai
rishta-e-mehr-o-wafa ek hasin KHwab sahi
lekin is KHwab ki ta'bir se Dar lagta hai
ye wafa maslahat-andesh bhi ho sakti hai
is chamakti hui zanjir se Dar lagta hai
meri KHwabida umangon ko jagane wali
teri warafta nigahon ka yaqin to kar lun
apne altaf ka mafhum samajh lene de
main zara tajziya-e-'ahd-e-hasin to kar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.