Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

क्राइसिस

Paigham Aafaqi

क्राइसिस

Paigham Aafaqi

MORE BYPaigham Aafaqi

    naddiyāñ mere qadmoñ ke nīche se bahtī chalī rahī haiñ

    pahāḌ mere ghuTnoñ

    aur daraḳht mere roñgToñ par rashk kar rahe haiñ

    phailī huī zamīn par maiñ kitnā ūñchā ho gayā huuñ

    chāñd mere māthe par hai

    aur sūraj hāthoñ khilaunā hai

    ḳhudā merī khopaḌī ke andar chamgādaḌ tarah phaḌphaḌā rahā hai

    samundar merā paañv chuum rahe haiñ

    aur tahzībeñ tez-o-tund havāoñ tarah sansanāhaT paidā kar rahī haiñ

    ki maiñ zamīn ko haath meñ le kar is tarah uchhāl saktā huuñ

    jaise bachche geñd uchhālā karte haiñ

    hazāroñ baras se maiñ ne yahī ḳhvāb dekhā thā ki maiñ ḳhudā ho jaatā

    ab mujhe ḳhudā rahnā bhī gavāra nahīñ

    logoñ ne mere qadmoñ pe sar rakh diye haiñ

    lekin merā sar jo ab ek baḌā bojh ban gayā hai

    ise maiñ kahāñ rakkhūñ

    jannat mere dāhne haath meñ hai

    aur dozaḳh baa.eñ haath meñ

    aur sar par nuur taaj hai

    farishte mere chāroñ taraf haiñ

    lekin ab maiñ kyā karūñ

    mujhe to Dar lagtā hai ki

    ab maiñ būḌhā ho gayā huuñ

    naddiyan mere qadmon ke niche se bahti chali ja rahi hain

    pahaD mere ghuTnon

    aur daraKHt mere rongTon par rashk kar rahe hain

    phaili hui zamin par main kitna uncha ho gaya hun

    chand mere mathe par hai

    aur suraj hathon ka khilauna hai

    KHuda meri khopaDi ke andar chamgadaD ki tarah phaDphaDa raha hai

    samundar mera panw chum rahe hain

    aur tahziben tez-o-tund hawaon ki tarah sansanahaT paida kar rahi hain

    ki main zamin ko hath mein le kar is tarah uchhaal sakta hun

    jaise bachche gend uchhaala karte hain

    hazaron baras se main ne yahi KHwab dekha tha ki main KHuda ho jata

    ab mujhe KHuda rahna bhi gawara nahin

    logon ne mere qadmon pe sar rakh diye hain

    lekin mera sar jo ab ek baDa sa bojh ban gaya hai

    ise main kahan rakkhun

    jannat mere dahne hath mein hai

    aur dozaKH baen hath mein

    aur sar par nur ka taj hai

    farishte mere chaaron taraf hain

    lekin ab main kya karun

    mujhe to Dar lagta hai ki

    ab main buDha ho gaya hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now