pankh
mohabbat pankh detī hai
mohabbat ruuh kī sāthī
mohabbat āsmānī shai
jise dāman meñ letī hai
use parvāz detī hai
kabhī qaidī nahīñ rakhtī
mohabbat pankh detī hai
mohabbat ham bhī karte haiñ
ye ulfat ham bhī rakhte haiñ
to ye dil kā taqāzā hai
ki terī ruuh merī chāhatoñ
ke āsmānoñ meñ
sadā āzād rah paa.e
mirī chaukhaT pe gar aa.e
to apne soz meñ aa.e
mirī āñkhoñ meñ gar jhāñke
to apnī zaat na kho.e
hameñ tum se mohabbat hai
tumheñ ham pankh dete haiñ
tumheñ āzād karte haiñ
karo parvāz merī jaañ
mirī ulfat ke dāman meñ
hazāroñ āsmānoñ kī masāfat
raah taktī hai
mohabbat pankh detī hai
tumheñ ham pankh dete haiñ
mohabbat pankh deti hai
mohabbat ruh ki sathi
mohabbat aasmani shai
jise daman mein leti hai
use parwaz deti hai
kabhi qaidi nahin rakhti
mohabbat pankh deti hai
mohabbat hum bhi karte hain
ye ulfat hum bhi rakhte hain
to ye dil ka taqaza hai
ki teri ruh meri chahaton
ke aasmanon mein
sada aazad rah pae
meri chaukhaT pe gar aae
to apne soz mein aae
meri aankhon mein gar jhanke
to apni zat na khoe
hamein tum se mohabbat hai
tumhein hum pankh dete hain
tumhein aazad karte hain
karo parwaz meri jaan
meri ulfat ke daman mein
hazaron aasmanon ki masafat
rah takti hai
mohabbat pankh deti hai
tumhein hum pankh dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.