Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pas-e-taqrib-e-mulaqat

Abdul Ahad Saaz

pas-e-taqrib-e-mulaqat

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    pas-e-taqrīb-e-mulāqāt yahāñ shaam Dhale

    der tak phailī rahegī tirī shirkat mahak

    mutarannim se raheñge ye havā ke goshe

    jin meñ ġhaltīda hai ab lahn-e-takallum terā

    raat bhar phailī rahegī ye ta.assur shafaq

    jazb hai jis meñ dil-āvez tabassum terā

    yaad rah jā.egī is sehn ko ye shām-e-fusūñ

    jal ga.ī thiiñ ka.ī an-dekhī suhānī sham.eñ

    lau de uTThā thā māhaul tire aane

    chhā gayā thā dar-o-dīvār pe vo partav-e-rañg

    jaise māḳhūz hoñ lamhe kisī afsāne se

    chhoḌ jā.egā vahī narm kasak phir dil meñ

    jis se shādāb hai muddat se mirā zauq-e-talab

    aaj taqrīb meñ ye tarz-e-mulāqāt tirā

    be-niyāzāna taḳhātub meñ pareshāñ tire

    gosha-e-lab pe koī harf shanāsā.ī

    tamkanat vaalī adāoñ meñ anokhā niyāz

    mujtanib āñkhoñ meñ ik aks pazīrā.ī

    aam mauzū-e-suḳhan meñ bhī ayaañ lahja-e-ḳhās

    zehn baat meñ bhī dil dhamak ehsās

    ik tāhum kisī ġhamza-e-ġhaltīda meñ

    ek mānūs ḳham kākul-e-paichīda meñ

    tujh se ye rabt ki mauhūm bhī mafhūm bhī hai

    ki hai mujh se tirī ziist har rañg judā

    sharh-e-hālāt alag umr āhañg sivā

    pahle raah meñ haa.el hai ḳhalīj-e-aqdār

    ne tābinda bhī rakkhā hai tirā ḳhatt-e-hisār

    phir bhī ik qurb ḳhushbū hai fazā meñ bedār

    ye rah-o-rasm jo iz.hār-e-mohabbat bhī nahīñ

    hai tire dam se ye rāhat ki jo rāhat bhī nahīñ

    ġham-e-be-nām tire naam se mausūm bhī hai

    husn se rābta-e-ishq ke mazmūñ haiñ bahut

    is latāfat-kada-e-kaif meñ afsūñ haiñ bahut

    na tire jism sandal na tire lab ke gulāb

    na tirī zulf shabnam hai is ehsās naam

    yuuñ to is shaam paikar bhī hai terā ye jamāl

    is shanāsā.ī unvāñ hai faqat nik.hat-e-shām

    chashm-e-hamdam atā-karda ye āsāish-e-dīd

    mehrbāñ husn baḳhshā huā ye izn-e-kalām

    aaj phir jāgtī rah jā.egī har baam tale

    vahī shādāb hasrat vahī āsūda kasak

    der tak phailī rahegī tirī shirkat mahak

    pas-e-taqrīb-e-mulāqāt yahāñ shaam Dhale

    pas-e-taqrib-e-mulaqat yahan sham Dhale

    der tak phaili rahegi teri shirkat ki mahak

    mutarannim se rahenge ye hawa ke goshe

    jin mein ghaltida hai ab lahn-e-takallum tera

    raat bhar phaili rahegi ye tassur ki shafaq

    jazb hai jis mein dil-awez tabassum tera

    yaad rah jaegi is sehn ko ye sham-e-fusun

    jal gai thin kai an-dekhi suhani shamen

    lau sa de uTTha tha mahaul tere aane ka

    chha gaya tha dar-o-diwar pe wo partaw-e-rang

    jaise maKHuz hon lamhe kisi afsane se

    chhoD jaega wahi narm kasak phir dil mein

    jis se shadab hai muddat se mera zauq-e-talab

    aaj taqrib mein ye tarz-e-mulaqat tera

    be-niyazana taKHatub mein pareshan sa tere

    gosha-e-lab pe koi harf shanasai ka

    tamkanat wali adaon mein anokha sa niyaz

    mujtanib aankhon mein ek aks pazirai ka

    aam mauzu-e-suKHan mein bhi ayan lahja-e-KHas

    zehn ki baat mein bhi dil ki dhamak ka ehsas

    ek tahum sa kisi ghamza-e-ghaltida mein

    ek manus sa KHam kakul-e-paichida mein

    tujh se ye rabt ki mauhum bhi mafhum bhi hai

    tu ki hai mujh se teri zist ka har rang juda

    sharh-e-haalat alag umr ka aahang siwa

    pahle hi rah mein hael hai KHalij-e-aqdar

    tu ne tabinda bhi rakkha hai tera KHatt-e-hisar

    phir bhi ek qurb ki KHushbu hai faza mein bedar

    ye rah-o-rasm jo izhaar-e-mohabbat bhi nahin

    hai tere dam se ye rahat ki jo rahat bhi nahin

    gham-e-be-nam tere nam se mausum bhi hai

    husn se rabta-e-ishq ke mazmun hain bahut

    is latafat-kada-e-kaif mein afsun hain bahut

    na tere jism ka sandal na tere lab ke gulab

    na teri zulf ki shabnam hai is ehsas ka nam

    yun to is sham ka paikar bhi hai tera ye jamal

    is shanasai ka unwan hai faqat nikhat-e-sham

    chashm-e-hamdam ki ata-karda ye aasaish-e-did

    mehrban husn ka baKHsha hua ye izn-e-kalam

    aaj phir jagti rah jaegi har baam tale

    wahi shadab si hasrat wahi aasuda kasak

    der tak phaili rahegi teri shirkat ki mahak

    pas-e-taqrib-e-mulaqat yahan sham Dhale

    Source:

    khamoshi bol uthi hai (Pg. 78)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now