Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pathraw

Zuhoor Nazar

pathraw

Zuhoor Nazar

MORE BYZuhoor Nazar

  dard thamtā bhī nahīñ

  had se guzartā bhī nahīñ

  bhuul kar tujh ko ajab haal huā hai dil

  sāl-hā-sāl se dil

  mundamil hotā huā ghaav hai

  Dūbtī hai koī hasrat na ubhartī hai umiid

  bahr-e-ālām meñ tūfāñ hai na Thahrāv hai

  ufuq-e-zīst pe tal.at hai na tārīkī hai

  duur tak dhund mauhūm kajrāo hai

  sāhil-e-chashm pe taare haiñ na motī haiñ na ashk

  soch haath hai ehsās pathrāv hai

  Dūbtī bhī nahīñ sīdhī bhī nahīñ hotī hai

  umr lahr pe jaañ ulTī huī naav hai

  taḳhtiyāñ jis tire pyaar se paivasta haiñ

  bādbāñ jis mire saañs phailāv hai

  saañs ruktā bhī nahīñ

  Thiik se chaltā bhī nahīñ

  bhuul kar tujh ko ajab haal hai dil

  dard thamta bhi nahin

  had se guzarta bhi nahin

  bhul kar tujh ko ajab haal hua hai dil ka

  sal-ha-sal se dil

  mundamil hota hua ghaw hai

  Dubti hai koi hasrat na ubharti hai umid

  bahr-e-alam mein tufan hai na Thahraw hai

  ufuq-e-zist pe talat hai na tariki hai

  dur tak dhund ka mauhum sa kajrao hai

  sahil-e-chashm pe tare hain na moti hain na ashk

  soch ka hath hai ehsas ka pathraw hai

  Dubti bhi nahin sidhi bhi nahin hoti hai

  umr ki lahr pe jaan ulTi hui naw hai

  taKHtiyan jis ki tere pyar se paiwasta hain

  baadban jis ka mere sans ka phailaw hai

  sans rukta bhi nahin

  Thik se chalta bhi nahin

  bhul kar tujh ko ajab haal hai dil ka

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now