aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

patthar

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    ret se but na banā ai mire achchhe fankār

    ek lamhe ko Thahar maiñ tujhe patthar duuñ

    maiñ tire sāmne ambār lagā duuñ lekin

    kaun se rañg patthar tire kaam aa.egā

    surḳh patthar jise dil kahtī hai be-dil duniyā

    vo pathrā.ī huī aañkh niilā patthar

    jis meñ sadiyoñ ke tahayyur ke paḌe hoñ Dore

    kyā tujhe ruuh ke patthar zarūrat hogī

    jis pe haq baat bhī patthar tarah girtī hai

    ik vo patthar hai jo kahlātā hai tahzīb-e-safed

    us ke marmar meñ siyah ḳhuun jhalak jaatā hai

    ek insāf patthar bhī to hotā hai magar

    haath meñ tesha-e-zar ho to vo haath aatā hai

    jitne meyār haiñ is daur ke sab patthar haiñ

    jitnī aqdār haiñ is daur sab patthar haiñ

    sabza o gul bhī havā aur fazā bhī patthar

    merā ilhām tirā zehn-e-rasā bhī patthar

    is zamāne meñ to har fan nishāñ patthar hai

    haath patthar haiñ tire merī zabāñ patthar hai

    ret se but na banā ai mire achchhe fankār

    ret se but na bana ai mere achchhe fankar

    ek lamhe ko Thahar main tujhe patthar la dun

    main tere samne ambar laga dun lekin

    kaun se rang ka patthar tere kaam aaega

    surKH patthar jise dil kahti hai be-dil duniya

    ya wo pathrai hui aankh ka nila patthar

    jis mein sadiyon ke tahayyur ke paDe hon Dore

    kya tujhe ruh ke patthar ki zarurat hogi

    jis pe haq baat bhi patthar ki tarah girti hai

    ek wo patthar hai jo kahlata hai tahzib-e-safed

    us ke marmar mein siyah KHun jhalak jata hai

    ek insaf ka patthar bhi to hota hai magar

    hath mein tesha-e-zar ho to wo hath aata hai

    jitne meyar hain is daur ke sab patthar hain

    jitni aqdar hain is daur ki sab patthar hain

    sabza o gul bhi hawa aur faza bhi patthar

    mera ilham tera zehn-e-rasa bhi patthar

    is zamane mein to har fan ka nishan patthar hai

    hath patthar hain tere meri zaban patthar hai

    ret se but na bana ai mere achchhe fankar

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ahmad Nadeem Qasmi

    Ahmad Nadeem Qasmi

    Ahmad Nadeem Qasmi

    Ahmad Nadeem Qasmi

    Ahmad Nadeem Qasmi

    Ahmad Nadeem Qasmi

    RECITATIONS

    Ahmad Nadeem Qasmi

    Ahmad Nadeem Qasmi,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Ahmad Nadeem Qasmi

    patthar Ahmad Nadeem Qasmi

    Nomaan Shauque

    patthar Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now