Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

payam-e-masarrat

Asrar jamayee

payam-e-masarrat

Asrar jamayee

MORE BYAsrar jamayee

    bachpan ke ek dost mire ghar pe aa.e the

    mere liye payām-e-masarrat vo laa.e the

    ya.anī ki un ke beTe shādī meñ jā.ūñ maiñ

    aur saath un ke murġh-e-musallam uḌā.ūñ maiñ

    maiñ ne kahā ki aap takalluf na kījiye

    mashġhūl huuñ maiñ aap mujhe baḳhsh dījiye

    bole barāt aap nahīñ jā.eñge agar

    sun lījiye na jā.ūñgā samdhī ke maiñ bhī ghar

    ye baat sun ke maiñ bhī muravvat meñ paḌ gayā

    arz hai qubūl mujhe hukm aap

    ḳhush ho ke mere dost ne ik list thamā

    shajara thā ḳhāndān jis meñ likhā huā

    bole ki nūr-e-chashm sehrā likheñ janāb

    misroñ meñ jin ke naam har ik fiT kareñ janāb

    maiñ ne kahā ki bhaa.ī mire aisī shart par

    mumkin nahīñ ki likh sakūñ maiñ sehra-e-pisar

    is list meñ to saikḌoñ logoñ ke naam haiñ

    sab naam ek bahr meñ kaise khapā.ūñ maiñ

    khetī meñ sher nahīñ mumkin hai hal chale

    bahr-e-rajaz meñ ya.anī ki bahr-e-ramal chale

    bole vo aa ke taish meñ bas jaane dījiye

    mat jā.iye barāt ab ārām kījiye

    bachpan ke ek dost mere ghar pe aae the

    mere liye payam-e-masarrat wo lae the

    yani ki un ke beTe ki shadi mein jaun main

    aur sath un ke murgh-e-musallam uDaun main

    main ne kaha ki aap takalluf na kijiye

    mashghul hun main aap mujhe baKHsh dijiye

    bole baraat aap nahin jaenge agar

    sun lijiye na jaunga samdhi ke main bhi ghar

    ye baat sun ke main bhi murawwat mein paD gaya

    ki arz hai qubul mujhe hukm aap ka

    KHush ho ke mere dost ne ek list di thama

    shajara tha KHandan ka jis mein likha hua

    bole ki nur-e-chashm ka sehra likhen janab

    misron mein jin ke nam har ek fiT karen janab

    main ne kaha ki bhai mere aisi shart par

    mumkin nahin ki likh sakun main sehra-e-pisar

    is list mein to saikDon logon ke nam hain

    sab nam ek bahr mein kaise khapaun main

    kheti mein sher ki nahin mumkin hai hal chale

    bahr-e-rajaz mein yani ki bahr-e-ramal chale

    bole wo aa ke taish mein bas jaane dijiye

    mat jaiye baraat ab aaram kijiye

    Source:

    (Pg. 80)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now