aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phulon ki bahaar

Ameer Aurangabadi

phulon ki bahaar

Ameer Aurangabadi

MORE BYAmeer Aurangabadi

    chalte chalte thak gayā huuñ kulfatoñ se chuur huuñ

    chain se mahrūm huuñ ārām se maiñ duur huuñ

    baaġh meñ aane de maalī hai qasam gul tujhe

    de rahī hai Daalī Daalī diid dāvat mujhe

    phuul khilte haiñ basantī nasha-āvar hai fazā

    god meñ apne jhulātī hai unheñ bād-e-sabā

    baaġh āñkheñ haiñ ye haiñ sitāre zau-fishāñ

    chhūTte haiñ rañg-o-bū ke goyā favvāre yahāñ

    rañgateñ dekhūñgā un aur lūTūñgā bahār

    log jaate haiñ idhar se par nahīñ karte nazar

    phuul kyā kyā haiñ khile hotī nahīñ un ko ḳhabar

    kaam meñ bhūle hue haiñ saare duniyā ke maze

    dil dil meñ ghuT ke rah jaate haiñ un ke hausle

    par maiñ khelūñgā guloñ se aur lūTūñgā bahār

    un ke husn-e-rūh-parvar se sukūñ paatā hai dil

    jaane kyā chupke chupke mujh se kah jaatā hai dil

    kis se pyāre dilāte haiñ ye mujh ko yaad ab

    aur mujhe apnā samajh kar maiñ bulāte sab ke sab

    ġham bhulā dūñgā maiñ un meñ aur lūTūñgā bahār

    shāḳh par ġhunche khileñge aur kumhlā jā.eñge

    hañs hañsā kar ik ghaḌī ke baad murjhā jā.eñge

    zindagī meñ maut kyoñ ġham kareñ kyoñ dukh yahīñ

    is riyāz-e-dahr meñ jab tak raheñ hañste raheñ

    un se sīkhūñgā maiñ hañsnā aur lūTūñgā bahār

    chalte chalte thak gaya hun kulfaton se chur hun

    chain se mahrum hun aaram se main dur hun

    bagh mein aane de mali hai qasam gul ki tujhe

    de rahi hai Dali Dali did ki dawat mujhe

    phul khilte hain basanti nasha-awar hai faza

    god mein apne jhulati hai unhen baad-e-saba

    bagh ki aankhen hain ye ya hain sitare zau-fishan

    chhuTte hain rang-o-bu ke goya fawware yahan

    rangaten dekhunga un ki aur luTunga bahaar

    log jate hain idhar se par nahin karte nazar

    phul kya kya hain khile hoti nahin un ko KHabar

    kaam mein bhule hue hain sare duniya ke maze

    dil hi dil mein ghuT ke rah jate hain un ke hausle

    par main khelunga gulon se aur luTunga bahaar

    un ke husn-e-ruh-parwar se sukun pata hai dil

    jaane kya chupke hi chupke mujh se kah jata hai dil

    kis se pyare ki dilate hain ye mujh ko yaad ab

    aur mujhe apna samajh kar main bulate sab ke sab

    gham bhula dunga main un mein aur luTunga bahaar

    shaKH par ghunche khilenge aur kumhla jaenge

    hans hansa kar ek ghaDi ke baad murjha jaenge

    zindagi mein maut ka kyon gham karen kyon dukh yahin

    is riyaz-e-dahr mein jab tak rahen hanste rahen

    un se sikhunga main hansna aur luTunga bahaar

    Source:

    Man ki Bansuri (Pg. 25)

    • Author: Ameer Aurangabadi
      • Publisher: Matba Ahad Aafrin, Deccan
      • Year of Publication: 1930
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now