pyari pyari sabziyan
dekh kaisī pyārī pyārī sabziyāñ
haiñ baḌī rangīn saarī sabziyāñ
kaddū khāte the huzūr-e-pāk bhī
ThanDā ThanDā hai ise khā.eñ sabhī
bādshāh aalū hai is kī baat kyā
rab ne ham ko dī hai ye sauġhāt kyā
lawn se maiñ ne utārī bhinDiyāñ
jab pakī thiiñ kyā karārī bhinDiyāñ
kyā maze kā hai karelā kyā kahūñ
Dhaal bīmārī kī kar de saaf ḳhuuñ
niiñd laa.eñ aur deñ ye loriyāñ
jab bhī khā.eñ ham maze kī toriyāñ
motiyoñ se haiñ maTar sālan banāo
kyā maze kā hotā hai is kā pulāv
phuul gobhī sardiyoñ meñ hī mile
sāmne pak kar jo aa.e man khile
sabz pālak aur vo sarsoñ kā saag
saath makkhan aur makaī vaah vaah janāb
señk kar bhartā bane baiñgan kā ḳhuub
khaa.e jo bhī zā.iqe meñ jaa.e duub
mirch shimla phuul gobhī ko milā
aalū gājar sabz methī kyā maza
pyaaz khīre aur TamāTar kā salād
saath lo lemuu. baḌā aa.e savād
in meñ poshīda ḳhazāne kyā se kyā
sabziyāñ miltī haiñ ham ko jā-ba-jā
tandurustī aur ye sehat kā naam
khaao aur bīmāriyoñ ko ho salām
dekh kar in ko na muñh ko moḌiye
rābta ab sabziyoñ se joḌiye
dekh kaisi pyari pyari sabziyan
hain baDi rangin sari sabziyan
kaddu khate the huzur-e-pak bhi
ThanDa ThanDa hai ise khaen sabhi
baadshah aalu hai is ki baat kya
rab ne hum ko di hai ye saughat kya
lawn se main ne utari bhinDiyan
jab paki thin kya karari bhinDiyan
kya maze ka hai karela kya kahun
Dhaal bimari ki kar de saf KHun
nind laen aur den ye loriyan
jab bhi khaen hum maze ki toriyan
motiyon se hain maTar salan banao
kya maze ka hota hai is ka pulaw
phul gobhi sardiyon mein hi mile
samne pak kar jo aae man khile
sabz palak aur wo sarson ka sag
sath makkhan aur makai wah wah janab
senk kar bharta bane baingan ka KHub
khae jo bhi zaiqe mein jae dub
mirch shimla phul gobhi ko mila
aalu gajar sabz methi kya maza
pyaz khire aur TamaTar ka salad
sath lo lemu baDa aae sawad
in mein poshida KHazane kya se kya
sabziyan milti hain hum ko ja-ba-ja
tandurusti aur ye sehat ka nam
khao aur bimariyon ko ho salam
dekh kar in ko na munh ko moDiye
rabta ab sabziyon se joDiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.