qaumi tarana
har bashar ke lab pe bhārat kī kahānī chāhiye
dāstān-e-mulk ghar ghar meñ sunānī chāhiye
ḳhāma-e-‘ishq-e-vatan se khīñch kar naqsh-o-nigār
lauh-e-dil par qaum kī mūrat banānī chāhiye
lab pe huuñ qaumī tarāne aur diloñ meñ valvale
qaum kī vedī pe yuuñ gardan chaḌhānī chāhiye
marte marte daas ke dil se yahī niklī sadā
mādar-e-bhārat ko āzādī dilānī chāhiye
chāplūsī kā sitamgāroñ kī mauqa' ho chukā
dushmanān-e-dīn-o-īmāñ sharm aanī chāhiye
qaid-ḳhānoñ meñ hazāroñ band haiñ faḳhr-e-vatan
mulk kī ḳhātir tumheñ bhī jaañ khapānī chāhiye
sarfarosho naam zindoñ meñ likhānā hai agar
apnī hastī rāh-e-millat meñ miTānī chāhiye
ai vatan ke nau-nihālo ḳhvāb-e-ġhaflat se uTho
imtihāñ kā vaqt hai himmat dikhānī chāhiye
bāda-e-hubb-e-vatan ke jaam bhar bhar kar pilā
tishnagī pyāsoñ kī yuuñ saaqī bujhānī chāhiye
'āftāb' aġhyār ke zulm-o-sitam kā ḳhauf kyā
īshvar kī dil-jaloñ par mehrbānī chāhiye
har bashar ke lab pe bhaarat ki kahani chahiye
dastan-e-mulk ghar ghar mein sunani chahiye
KHama-e-‘ishq-e-watan se khinch kar naqsh-o-nigar
lauh-e-dil par qaum ki murat banani chahiye
lab pe hun qaumi tarane aur dilon mein walwale
qaum ki wedi pe yun gardan chaDhani chahiye
marte marte das ke dil se yahi nikli sada
madar-e-bhaarat ko aazadi dilani chahiye
chaplusi ka sitamgaron ki mauqa' ho chuka
dushmanan-e-din-o-iman sharm aani chahiye
qaid-KHanon mein hazaron band hain faKHr-e-watan
mulk ki KHatir tumhein bhi jaan khapani chahiye
sarfarosho nam zindon mein likhana hai agar
apni hasti rah-e-millat mein miTani chahiye
ai watan ke nau-nihaalo KHwab-e-ghaflat se uTho
imtihan ka waqt hai himmat dikhani chahiye
baada-e-hubb-e-watan ke jam bhar bhar kar pila
tishnagi pyason ki yun saqi bujhani chahiye
'aftab' aghyar ke zulm-o-sitam ka KHauf kya
ishwar ki dil-jalon par mehrbani chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.