maiñ shahr ke navāhī shor meñ rahtā huuñ
rozāna manoñ ke hisāb se
ḳhāmoshī kā severage
mere ghar ke sāmne paḌāv Dāltā hai
jis meñ an-kahī bātoñ ke chhilke
nauzā.ida taklīfoñ ke wrappers
aur chīḳhtī shāmoñ kī ḳhālī botaleñ
badbū-dār gāliyoñ ko janm detī haiñ
maiñ apnī āvāz kā nikās chāhtā huuñ
lafz agar barsāt se pahle
qarībī samā.atoñ tak na pahuñcheñ
to zabānoñ ko dīmak lag jaatī hai
maiñ ne ḳhudā se guzārish kī hai
bādaloñ kī aamad se qabl
mujhe sūraj se milne diyā jaa.e
tā ki harārat jauhaḌoñ ko ḳhushk karne meñ muāvin ho
magar municipal committē ke daftar meñ
baiThne vaale farishte
chhuTTiyoñ par haiñ
shahr mujh se do haath kī duurī par hai
lekin mere paas loudspeaker nahīñ
so maiñ us chīḳham dhaaḌ ke manzar-nāme par
apnī jagah nahīñ banā saktā
agar ye mas.ala kuchh arse tak yūñhī rahā
to majbūran mujhe kashtī daryāft karnā hogī
jise dariyā ne dhutkār diyā ho
magar maiñ nāḳhudā nahīñ huuñ
zindagī mujh se kis qadar mazāq kartī hai
bhalā do haath kī duurī kitnī der meñ tai hotī hai
mehrbān sā.atoñ kā intizār mujhe
qubūliyat se duur kyoñ rakhtā hai
main shahr ke nawahi shor mein rahta hun
rozana manon ke hisab se
KHamoshi ka sewerage
mere ghar ke samne paDaw Dalta hai
jis mein an-kahi baaton ke chhilke
nauzaida taklifon ke wrappers
aur chiKHti shamon ki KHali botalen
badbu-dar galiyon ko janm deti hain
main apni aawaz ka nikas chahta hun
lafz agar barsat se pahle
qaribi samaaton tak na pahunchen
to zabanon ko dimak lag jati hai
main ne KHuda se guzarish ki hai
baadalon ki aamad se qabl
mujhe suraj se milne diya jae
ta ki hararat jauhaDon ko KHushk karne mein muawin ho
magar municipal committee ke daftar mein
baiThne wale farishte
chhuTTiyon par hain
shahr mujh se do hath ki duri par hai
lekin mere pas loudspeaker nahin
so main us chiKHam dhaD ke manzar-name par
apni jagah nahin bana sakta
agar ye masala kuchh arse tak yunhi raha
to majburan mujhe kashti daryaft karna hogi
jise dariya ne dhutkar diya ho
magar main naKHuda nahin hun
zindagi mujh se kis qadar mazaq karti hai
bhala do hath ki duri kitni der mein tai hoti hai
mehrban saaton ka intizar mujhe
qubuliyat se dur kyon rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.