Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahguzar

Shamim Karhani

rahguzar

Shamim Karhani

MORE BYShamim Karhani

    (thartharātā huā ehsās ke ġham-ḳhāne meñ

    nargisī āñkhoñ ma.asūm shikvā din raat

    ziist ke saath rahā kartā hai saa.e tarah

    chand utre hue chehroñ taqāzā din raat)

    shaam hotī hai to rotī haiñ nañdāsī āñkheñ

    loriyāñ ruuTh ga.iiñ pyaar bharī baat ga.ī

    sub.h aatī hai to kahtī haiñ nigāheñ uTh kar

    kis liye din ujālā huā kyuuñ raat ga.ii)

    (raushnī laa.e jo koī to kahāñ se laa.e

    shām-e-ġham bhuul ga.ī sub.h-e-ḳhushī rasta

    khoī khoī nigāhoñ meñ chamak hai phir bhī

    ab bhī taktā hai koī jaise kisī rasta

    paañv kāñToñ meñ haiñ tāroñ pe nazar hai ai dost)

    (thartharaata hua ehsas ke gham-KHane mein

    nargisi aankhon ka masum sa shikwa din raat

    zist ke sath raha karta hai sae ki tarah

    chand utre hue chehron ka taqaza din raat)

    sham hoti hai to roti hain nandasi aankhen

    loriyan ruTh gain pyar bhari baat gai

    subh aati hai to kahti hain nigahen uTh kar

    kis liye din ka ujala hua kyun raat gai)

    (raushni lae jo koi to kahan se lae

    sham-e-gham bhul gai subh-e-KHushi ka rasta

    khoi khoi si nigahon mein chamak hai phir bhi

    ab bhi takta hai koi jaise kisi ka rasta

    panw kanTon mein hain taron pe nazar hai ai dost)

    Source:

    aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 189)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now