raat Dhalne ko hai
saañs roke hue vaqt ke peḌ ko
chheḌtī hai havā
habs chhaTne lagā
bain kartī TaTīrī kī manhūs āvāz par
os paḌne lagī
ras-bharī chāñdnī se
chipakne lage ḳhushk āñkhoñ ke lab
ḳhushk hote hue halq-e-shab meñ uñDelī ga.ī
qatra qatra damakte hue jugnūoñ kī sharāb
raat kī shāḳh par
raushnī se mahakte sitāroñ kā baur aa gayā
chāñd aisā piyāla chhalakne ko hai
jo añdheroñ kī papḌī jamī thī lab-e-bām-o-dar
vo utarne ko hai
raat Dhalne ko hai
sans roke hue waqt ke peD ko
chheDti hai hawa
habs chhaTne laga
bain karti TaTiri ki manhus aawaz par
os paDne lagi
ras-bhari chandni se
chipakne lage KHushk aankhon ke lab
KHushk hote hue halq-e-shab mein unDeli gai
qatra qatra damakte hue jugnuon ki sharab
raat ki shaKH par
raushni se mahakte sitaron ka baur aa gaya
chand aisa piyala chhalakne ko hai
jo andheron ki papDi jami thi lab-e-baam-o-dar
wo utarne ko hai
raat Dhalne ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.