Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raftagan ka pata

Ashu mishra

raftagan ka pata

Ashu mishra

MORE BYAshu mishra

    vo saare rishte

    jinheñ tumhāre qarīb aa kar bhulā diyā thā

    vo sab marāsim ki jin ko maiñ ne

    tumhārī qurbat meñ toḌ Daalā

    tumhārī zulfoñ saaya kar ke

    jin daraḳhtoñ ThanDī chhāñv se uTh gayā thā

    vo saarī āñkheñ

    jo rāh-e-ulfat pe merī aamad muntazir thiiñ

    vo saare paañv jo saath chalne ḳhvāhishoñ meñ khaḌe hue the

    magar palaT kar na dekhā maiñ ne

    par ab jo mausam badal gayā hai

    tum ab nahīñ ho

    to saare rishte sabhī marāsim ghane daraḳhtoñ ThanDī chhāñv

    kisī āñkheñ kisī ke paañv

    ye pūchhte haiñ

    udaas āñkhoñ meñ ujḌe ḳhvāboñ laash le kar

    jahān-e-fānī meñ phir rahe ho

    sañbhal ke chalne bejā koshish meñ gir rahe ho

    vo shaḳhs jis vaj.h se tum ne hameñ nākāra

    vo ab kahāñ hai

    vo jis bāteñ sunā sunā kar jalāte rahte the

    kyā huā vo

    kahāñ gayā vo

    unheñ batātā huuñ sard mausam meñ dhuup thī so

    be-ruḳhī ridā ko oḌhe kisī do-pahrī meñ so ga.e ho

    tum ik parā.e ke ho ga.e ho

    kisī se kahtā huuñ achchhe logoñ sohbatoñ meñ sañvar ga.e ho

    kisī se kahtā huuñ mar ga.e ho

    wo sare rishte

    jinhen tumhaare qarib aa kar bhula diya tha

    wo sab marasim ki jin ko main ne

    tumhaari qurbat mein toD Dala

    tumhaari zulfon ka saya pa kar ke

    jin daraKHton ki ThanDi chhanw se uTh gaya tha

    wo sari aankhen

    jo rah-e-ulfat pe meri aamad ki muntazir thin

    wo sare panw jo sath chalne ki KHwahishon mein khaDe hue the

    magar palaT kar na dekha main ne

    par ab jo mausam badal gaya hai

    tum ab nahin ho

    to sare rishte sabhi marasim ghane daraKHton ki ThanDi chhanw

    kisi ki aankhen kisi ke panw

    ye puchhte hain

    udas aankhon mein ujDe KHwabon ki lash le kar

    jahan-e-fani mein phir rahe ho

    sanbhal ke chalne ki beja koshish mein gir rahe ho

    wo shaKHs jis ki wajh se tum ne hamein nakara

    wo ab kahan hai

    wo jis ki baaten suna suna kar jalate rahte the

    kya hua wo

    kahan gaya wo

    unhen batata hun sard mausam mein dhup thi so

    be-ruKHi ki rida ko oDhe kisi do-pahri mein so gae ho

    tum ek parae ke ho gae ho

    kisi se kahta hun achchhe logon ki sohbaton mein sanwar gae ho

    kisi se kahta hun mar gae ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now