Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahne do mujhe

Qaleel Jhansvi

rahne do mujhe

Qaleel Jhansvi

MORE BYQaleel Jhansvi

    guzre hue vaqtoñ se nikal kar dekhā

    aaj daur alāhida to nahīñ hai

    vo āvāz ke saa.e vo be-sharm sarāb

    aaj bhī maujūd haiñ kal jaise ḳharāb

    chehre zarā badle haiñ na.ī baat nahīñ hai

    maanā biite hue kal se nadāmat hai mujhe

    aisā kuchh bhī to nahīñ jis se aqīdat hai mujhe

    maazī vale kuchh bhī ho jiine bahāna hai mire

    ik ḳhvāb mohabbat suhānā hai mire

    ab vo chhoḌ ke jiinā hai to jiinā kyā hai

    haañ zarā dard bhī ho letā hai gāhe-gāhe

    aur jaan pe ban aatī hai tab jab chāhe

    ye bhī lagtā hai ke rāste band haiñ sab

    aur jiine sajā āḳhir kab tak

    par mire dost ye haal to maazī se bhī bad-tar hai

    is meñ nafrat ke ubāle haiñ bahut

    is meñ aaheñ fuġhāñ-o-nāle haiñ bahut

    jiine ke liye marne zarūrat hai bahut

    thā to ye pahle bhī magar itnā nahīñ thā

    kuchh thā TuuTā huā har ek sapnā nahīñ thā

    mujh ko mere maazī meñ fanā rahne do

    merī ulfat mire jiine bahāna hai bahut

    guzre hue waqton se nikal kar dekha

    aaj ka daur alahida to nahin hai

    wo hi aawaz ke sae wo hi be-sharm sarab

    aaj bhi maujud hain kal jaise KHarab

    chehre zara badle hain nai baat nahin hai

    mana bite hue kal se nadamat hai mujhe

    aisa kuchh bhi to nahin jis se aqidat hai mujhe

    mazi wale kuchh bhi ho jine ka bahana hai mere

    ek KHwab mohabbat ka suhana hai mere

    ab wo hi chhoD ke jina hai to jina kya hai

    han zara dard bhi ho leta hai gahe-gahe

    aur jaan pe ban aati hai tab jab chahe

    ye bhi lagta hai ke raste band hain sab

    aur jine ki saja aaKHir kab tak

    par mere dost ye haal to mazi se bhi bad-tar hai

    is mein nafrat ke ubaale hain bahut

    is mein aahen fughan-o-nale hain bahut

    jine ke liye marne ki zarurat hai bahut

    tha to ye pahle bhi magar itna nahin tha

    kuchh ka tha TuTa hua har ek ka sapna nahin tha

    mujh ko mere mazi mein fana rahne do

    meri ulfat mere jine ka bahana hai bahut

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now