rat-jaga
vo merī zindagī kā sab se pahlā ratjagā thā
jab qadam rakkhā thā maiñ ne zindagī kī sātvīñ shab meñ
december kī ikattīs aur ‘urūj-e-māh kī vo āḳhir shab thī
kahā jaatā hai
us shab sātveñ ākāsh par taqdīr ke sachche farishte ne
tirā bandhan hamesha ke liye yuuñ mujh se bāñdhā thā
mire māthe pe kuchh apne qalam se harf likkhe the
mirī maañ ne usī shab
āyatoñ ke saa.e meñ
tāroñ kī chhāoñ meñ
akelā chāñd dekhā thā
charāġhāñ hī charāġhāñ thā
mire purkhoñ ke hāthoñ meñ
qalam thā ek chāñdī kā
zabāñ par āyateñ thiiñ aur hathelī par
purānā nuqra.ī pyāla
mire māthe pe chāñdī ke qalam se un buzurgoñ ne
sunahrī harf likkhā thā
charāġhāñ hī charāġhāñ thā
december kī ikattīs aur ‘urūj-e-māh kī phir āḳhirī shab hai
magar imshab
farishte so chuke
vo bhī jinhoñ ne āsmāñ par terā bandhan mujh se bāñdhā thā
mire purkhoñ ko bhī niiñd aa ga.ī kab kī
koī pūchhe
unhoñ ne mere māthe par jo ujle harf likkhe the
vo saare rang kachche the
vo saare harf jhūTe the
maiñ jab se aaj tak ik ratjage kī kaifiyat meñ huuñ
akelā chāñd hañstā hai
farishtoñ kā likhā ik harf āñkhoñ meñ chamaktā hai
charāġhāñ hī charāġhāñ hai
wo meri zindagi ka sab se pahla ratjaga tha
jab qadam rakkha tha main ne zindagi ki satwin shab mein
december ki ikattis aur ‘uruj-e-mah ki wo aaKHir shab thi
kaha jata hai
us shab satwen aakash par taqdir ke sachche farishte ne
tera bandhan hamesha ke liye yun mujh se bandha tha
mere mathe pe kuchh apne qalam se harf likkhe the
meri man ne usi shab
aayaton ke sae mein
taron ki chhaon mein
akela chand dekha tha
charaghan hi charaghan tha
mere purkhon ke hathon mein
qalam tha ek chandi ka
zaban par aayaten thin aur hatheli par
purana nuqrai pyala
mere mathe pe chandi ke qalam se un buzurgon ne
sunahri harf likkha tha
charaghan hi charaghan tha
december ki ikattis aur ‘uruj-e-mah ki phir aaKHiri shab hai
magar imshab
farishte so chuke
wo bhi jinhon ne aasman par tera bandhan mujh se bandha tha
mere purkhon ko bhi nind aa gai kab ki
koi puchhe
unhon ne mere mathe par jo ujle harf likkhe the
wo sare rang kachche the
wo sare harf jhuTe the
main jab se aaj tak ek ratjage ki kaifiyat mein hun
akela chand hansta hai
farishton ka likha ek harf aankhon mein chamakta hai
charaghan hi charaghan hai
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 129)
- Author :Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.