Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ratjaga

Shaz Tamkanat

ratjaga

Shaz Tamkanat

MORE BYShaz Tamkanat

    añdherī raat havā tez barshgāl shor

    karūñ to kaise karūñ sham.a nigahbānī

    in āñdhiyoñ meñ kaf-e-dast sahārā kyā

    kahāñ chale ga.e tum sauñp kar ye daulat-e-nūr

    mirī hayāt to jugnū raushnī meñ kaTī

    na āftāb se nisbat na māhtāb rafīq

    janam janam siyāhī baras baras ye raat

    qadam qadam añdherā nafas nafas ye raat

    tumhārī nik.hat-e-barbād ko tarastī hai

    ab aao aa ke amānat sambhāl lo apnī

    tamām umar ye ratjagā tamām huā

    maiñ thak gayā huuñ mujhe niiñd aa.ī jaatī hai

    andheri raat hawa tez barshgal ka shor

    karun to kaise karun shama ki nigahbani

    in aandhiyon mein kaf-e-dast ka sahaara kya

    kahan chale gae tum saunp kar ye daulat-e-nur

    meri hayat to jugnu ki raushni mein kaTi

    na aaftab se nisbat na mahtab rafiq

    janam janam ki siyahi baras baras ki ye raat

    qadam qadam ka andhera nafas nafas ki ye raat

    tumhaari nikhat-e-barbaad ko tarasti hai

    ab aao aa ke amanat sambhaal lo apni

    tamam umar ka ye ratjaga tamam hua

    main thak gaya hun mujhe nind aai jati hai

    Source:

    Nai Nazm ka safar (Pg. 170)

    • Author: Khalilur Rahman Azmi
      • Edition: 2011
      • Publisher: NCPUL, New Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now