aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh labon tak aa kar soche

Ahmad Nadeem Qasmi

ruh labon tak aa kar soche

Ahmad Nadeem Qasmi

MORE BYAhmad Nadeem Qasmi

    ruuh laboñ tak aa kar soche kaise chhoḌūñ qarya-e-jāñ

    yūsuf qasr-e-shahī meñ bhī kab bhūlā kan.āñ galiyāñ

    maut qarīb aa.ī to duniyā kitnī muqaddas lagtī hai

    kāhish-e-dil bhī ḳhvāhish-e-dil hai āfat-e-jāñ bhī rāhat-e-jāñ

    merī vahshat ko to bahut thī gosha-e-chashm-e-yār sair

    yuuñ to adam meñ vus.at hogī arsh-ba-arsh karāñ-ba-karāñ

    ġhunche ab tak rañg bhare haiñ ab tak hoñT umañg-bhare

    TūTī-phūTī qabroñ se haiñ pathrā.ī āñkheñ nigarāñ

    sirf ik nigah-e-garm se TūTeñ sho.aloñ meñ parvān chaḌheñ

    haa.e ye nāzuk nāzuk rishte haa.e ye bazm-e-shīsh-garāñ

    dasht-o-daman meñ koh kamar meñ bikhre hue haiñ phuul phuul

    rū-e-nigār-e-gītī par haiñ sabt mire bosoñ ke nishāñ

    aañkh ik jhapkī meñ biitā kitne baras qurb-e-jamāl

    ishq ke ik pal meñ guzre haiñ kitne qaran kitnī sadiyāñ

    saarī duniyā merā ka.aba sab insāñ mere mahbūb

    dushman bhī do ek the lekin dushman bhī to the insāñ

    dard-e-hayāt kahīñ ab kar banñe lagā thā husn-e-hayāt

    kis ko ḳhabar thī mahv rahegī qat-e-safar meñ umr-e-ravāñ

    jannat yaḳh-bastagyoñ ko garmā.egā us ḳhayāl

    sub.h-e-abad tak jamī rahe ye anjuman-e-ātish-e-nafasāñ

    ruh labon tak aa kar soche kaise chhoDun qarya-e-jaan

    yusuf qasr-e-shahi mein bhi kab bhula kanan ki galiyan

    maut qarib aai to duniya kitni muqaddas lagti hai

    kahish-e-dil bhi KHwahish-e-dil hai aafat-e-jaan bhi rahat-e-jaan

    meri wahshat ko to bahut thi gosha-e-chashm-e-yar ki sair

    yun to adam mein wusat hogi arsh-ba-arsh karan-ba-karan

    ghunche ab tak rang bhare hain ab tak honT umang-bhare

    TuTi-phuTi qabron se hain pathrai aankhen nigaran

    sirf ek nigah-e-garm se TuTen shoalon mein parwan chaDhen

    hae ye nazuk nazuk rishte hae ye bazm-e-shish-garan

    dasht-o-daman mein koh kamar mein bikhre hue hain phul hi phul

    ru-e-nigar-e-giti par hain sabt mere boson ke nishan

    aankh ki ek jhapki mein bita kitne baras ka qurb-e-jamal

    ishq ke ek pal mein guzre hain kitne qaran kitni sadiyan

    sari duniya mera kaba sab insan mere mahbub

    dushman bhi do ek the lekin dushman bhi to the insan

    dard-e-hayat kahin ab ja kar banne laga tha husn-e-hayat

    kis ko KHabar thi mahw rahegi qat-e-safar mein umr-e-rawan

    jannat ki yaKH-bastagyon ko garmaega us ka KHayal

    subh-e-abad tak jami rahe ye anjuman-e-atish-e-nafasan

    Source:

    kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 246)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now