aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safir-e-laila-1

Ali Akbar Natiq

safir-e-laila-1

Ali Akbar Natiq

MORE BYAli Akbar Natiq

    safīr-e-lailā yahī khañDar haiñ jahāñ se āġhāz-e-dāstāñ hai

    zarā baiTho to maiñ sunā.ūñ

    fasīl-e-qarya ke surḳh patthar aur un pe azhdar-nishān burjeñ gavāh qarya azmatoñ

    chahār jānib naḳhīl-e-tūbā aur us meñ bahte farāvāñ chashme

    buland peḌoñ ke ThanDe saa.e the shāḳh-e-zaitūñ isī jagah thī

    yahī sutūñ the jo dekhte ho paḌe haiñ murda giddhoñ ke mānind

    uThā.e rakhte the in ke shāne aziim qasroñ sañgīñ saqfeñ

    yahī vo dar haiñ safīr-e-lailā ki jin ke taḳhte uḌā liye haiñ dinoñ āvāra sarsaroñ ne

    yahīñ se guzrī thiiñ surḳh ūñToñ vo qatāreñ

    ki un pushteñ sanobaroñ ke safed pālān le ke chaltīñ

    uThā.e phirtīñ javān pariyoñ mahmaloñ ko

    ye sehan-e-qarya hai un jag.hoñ par ghanī khajūroñ sabz shāḳheñ

    falak se taaza phaloñ ke ḳhoshe churā ke bhartī thiiñ pahluoñ meñ

    safed paanī ke sau kueñ yuuñ bhare hue the

    ki chauḌī mashkoñ ko haath bhar rassiyāñ thiiñ

    mazāf-e-qarya meñ sabza-gāheñ aur in meñ chartī thiiñ farba bheḌeñ

    shimāl-e-qarya meñ nīl-gā.eñ manār-e-masjid se dekhte the

    pare hazāroñ kabūtaroñ ke fasīl-e-qarya se gumbadoñ tak

    paroñ ko zoroñ se phaḌ.phaḌāte the aur sehnoñ meñ dauḌte the

    yahīñ thā sab kuchh safīr-e-lailā

    isī jagah par jahāñ babūloñ ke ḳhaar phirte haiñ chūhiyoñ savāriyoñ par

    jahāñ parindoñ ko haul aate haiñ raakh uḌtī hai haDDiyoñ

    yahī vo vahshat-sarā hai jis meñ diloñ āñkheñ laraz rahī haiñ

    safīr-e-lailā tum aaj aa.e ho to batā.ūñ

    tire musāfir yahāñ se nikle ufuq ke parbat se us taraf ko

    vo aise nikle ki phir na aa.e

    hazār kohna duā.eñ garche buzurg hoñToñ se uTh ke bām-e-falak pe pahuñchīñ

    magar na aa.e

    aur ab yahāñ par na koī mausam na bādaloñ ke shafīq saa.e

    na sūrajoñ safed dhūpeñ

    faqat sazā.eñ haiñ ūñgh-bhartī karīh chehroñ deviyāñ haiñ

    safīr-e-lailā

    yahāñ jo din haiñ vo din nahīñ haiñ

    yahāñ rāteñ haiñ be-sitāra

    sahar meñ koī namī nahīñ hai

    safir-e-laila yahi khanDar hain jahan se aaghaz-e-dastan hai

    zara sa baiTho to main sunaun

    fasil-e-qarya ke surKH patthar aur un pe azhdar-nishan burjen gawah qarya ki azmaton ki

    chahaar jaanib naKHil-e-tuba aur us mein bahte farawan chashme

    buland peDon ke ThanDe sae the shaKH-e-zaitun isi jagah thi

    yahi sutun the jo dekhte ho paDe hain murda giddhon ke manind

    uThae rakhte the in ke shane azim qasron ki sangin saqfen

    yahi wo dar hain safir-e-laila ki jin ke taKHte uDa liye hain dinon ki aawara sarsaron ne

    yahin se guzri thin surKH unTon ki wo qataren

    ki un ki pushten sanobaron ke safed palan le ke chaltin

    uThae phirtin jawan pariyon ki mahmalon ko

    ye sehan-e-qarya hai un jaghon par ghani khajuron ki sabz shaKHen

    falak se taza phalon ke KHoshe chura ke bharti thin pahluon mein

    safed pani ke sau kuen yun bhare hue the

    ki chauDi mashkon ko hath bhar ki hi rassiyan thin

    mazaf-e-qarya mein sabza-gahen aur in mein charti thin farba bheDen

    shimal-e-qarya mein nil-gaen manar-e-masjid se dekhte the

    pare hazaron kabutaron ke fasil-e-qarya se gumbadon tak

    paron ko zoron se phaDphaDate the aur sehnon mein dauDte the

    yahin tha sab kuchh safir-e-laila

    isi jagah par jahan babulon ke KHar phirte hain chuhiyon ki sawariyon par

    jahan parindon ko haul aate hain rakh uDti hai haDDiyon ki

    yahi wo wahshat-sara hai jis mein dilon ki aankhen laraz rahi hain

    safir-e-laila tum aaj aae ho to bataun

    tere musafir yahan se nikle ufuq ke parbat se us taraf ko

    wo aise nikle ki phir na aae

    hazar kohna duaen garche buzurg honTon se uTh ke baam-e-falak pe pahunchin

    magar na aae

    aur ab yahan par na koi mausam na baadalon ke shafiq sae

    na surajon ki safed dhupen

    faqat sazaen hain ungh-bharti karih chehron ki dewiyan hain

    safir-e-laila

    yahan jo din hain wo din nahin hain

    yahan ki raaten hain be-sitara

    sahar mein koi nami nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now