sarab
vaqt ke is sahrā meñ kab se
karb-zada lamhoñ kā bhārī bojh uThā.e
rasta rasta bhaTak rahā huuñ
sahrā sahrā reg-e-ravāñ ke sūkhe dariyā
aur maiñ pyāsā
por por se chaTaḳh rahā huuñ
lekin phir bhī tez-qadam huuñ
shāyad dariyā mil jā.egā
shāyad ruuh kī pyaas bujhegī
sahrā meñ to qadam qadam par
bahte dariyāoñ ke dhoke
chāroñ samt nazar aate haiñ
lahrāte haiñ
paas pahuñch kar kho jaate haiñ
ret ke saare dariyā mujh meñ
andar andar sūkhe aañsū ho jaate haiñ
pyaas baḌhātī paas bulātī ret kī lahreñ
phir se nazar meñ aa jaatī haiñ
phir se is sahrā ke safar meñ
ummīdeñ sī bañdh jaatī haiñ
kisī sarāb ko jaan ke dariyā
tez-qadam phir ho jaatā huuñ
waqt ke is sahra mein kab se
karb-zada lamhon ka bhaari bojh uThae
rasta rasta bhaTak raha hun
sahra sahra reg-e-rawan ke sukhe dariya
aur main pyasa
por por se chaTaKH raha hun
lekin phir bhi tez-qadam hun
shayad dariya mil jaega
shayad ruh ki pyas bujhegi
sahra mein to qadam qadam par
bahte dariyaon ke dhoke
chaaron samt nazar aate hain
lahraate hain
pas pahunch kar kho jate hain
ret ke sare dariya mujh mein
andar andar sukhe aansu ho jate hain
pyas baDhati pas bulati ret ki lahren
phir se nazar mein aa jati hain
phir se is sahra ke safar mein
ummiden si bandh jati hain
kisi sarab ko jaan ke dariya
tez-qadam phir ho jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.