Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarojini-naidu

Kaifi Azmi

sarojini-naidu

Kaifi Azmi

MORE BYKaifi Azmi

    aziiz maañ mirī hañsmukh mirī bahādur maañ

    tamām jauhar-e-fitrat jagā diye ne

    mohabbat apne chaman se guloñ se ḳhāroñ se

    mohabbatoñ ke ḳhazāne luTā diye ne

    banā banā ke miTā.e ga.e nuqūsh-e-amal

    tire baġhair mukammal na ho sakī tasvīr

    vo ḳhvāb jhāñsī raanī ko jis ne chauñkāyā

    tirā gihād-e-musalsal usī hai ta.abīr

    use hayāt sola siñgār kahte haiñ

    tirī jabīñ pe haiñ kuchh silvaTeñ bhī Tiikā bhī

    nazar meñ jazb-e-yaqīñ dil meñ soz-e-āzādī

    dahaktā phuul bhī hai mahaktā sho.ala bhī

    zarā zamīn ko mehvar pe ghuum lene de

    samāj tujh se tirā soz-o-sāz māñgegī

    jamāl sīkhegā ḳhud-e'timādiyāñ tujh se

    hayāt-e-nau tire dil gudāz māñgegī

    aziz man meri hansmukh meri bahadur man

    tamam jauhar-e-fitrat jaga diye tu ne

    mohabbat apne chaman se gulon se KHaron se

    mohabbaton ke KHazane luTa diye tu ne

    bana bana ke miTae gae nuqush-e-amal

    tere baghair mukammal na ho saki taswir

    wo KHwab jhansi ki rani ko jis ne chaunkaya

    tera gihad-e-musalsal usi ki hai tabir

    use hayat ka sola singar kahte hain

    teri jabin pe hain kuchh silwaTen bhi Tika bhi

    nazar mein jazb-e-yaqin dil mein soz-e-azadi

    dahakta phul bhi hai tu mahakta shoala bhi

    zara zamin ko mehwar pe ghum lene de

    samaj tujh se tera soz-o-saz mangegi

    jamal sikhega KHud-e'timadiyan tujh se

    hayat-e-nau tere dil ka gudaz mangegi

    Source:

    Hindustan Hamara (Vol. 2) (Pg. E-499 B-505)

      • Edition: 1974
      • Publisher: Hindustani Book Trust, Mumbai
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now