sarw-e-arzu
nazar-nazar pilā.egā
nafas-nafas samā.egā
vo jumbishoñ kī shā'irī
adā adā sunā.egā
vo bā-kamāl husn-e-zan
kamāl āzmā.egā
rumūz-e-'ishq-āshnā
junūñ-asar banā.egā
bahār-e-mast-gām ko
vo aa.ina dikhā.egā
sabā-e-ḳhush-ḳhirām ko
nayā chalan sikhā.egā
vo ḳhush-gulū vo kam-suḳhan
kabhī jo gungunā.egā
ġhazal mirī sunā.egā
vo giit mere gā.egā
vo shauq-e-kam-libās pe
na.ī qabā sajā.egā
fasīl-e-vahshat-e-sukūt
āhaToñ se Dhā.egā
vo rashk-e-gul qatār-e-gul
qadam qadam khilā.egā
vo apnī saarī nik.hateñ
mirī nazar meñ lā.egā
vo ranjishoñ ke daur meñ
rifāqateñ baḌhā.egā
jhukā jhukā ke chashm-e-nam
qayāmateñ uThā.egā
sharīk-e-dard us kā maiñ
vo mere dukh baTā.egā
haiñ jān-o-rūh muntazir
ki vo kabhī to aa.egā
mirī nigāh-e-shauq vo
kahīñ girī jo pā.egā
adā-e-ḳhush-gumān se
vo chuum kar uThā.egā
vo laaj zeb-tan kiye
jo mahfiloñ meñ jā.egā
gurez ġhair se mire
qarīb aur aa.egā
vo ham-safar vo ajnabī
'azāb-e-jāñ miTā.egā
magar ai sarv-e-ārzū
vo kis jahāñ se aa.egā
nazar-nazar pilaega
nafas-nafas samaega
wo jumbishon ki sha'iri
ada ada sunaega
wo ba-kamal husn-e-zan
kamal aazmaega
rumuz-e-'ishq-ashna
junun-asar banaega
bahaar-e-mast-gam ko
wo aaina dikhaega
saba-e-KHush-KHiram ko
naya chalan sikhaega
wo KHush-gulu wo kam-suKHan
kabhi jo gungunaega
ghazal meri sunaega
wo git mere gaega
wo shauq-e-kam-libas pe
nai qaba sajaega
fasil-e-wahshat-e-sukut
aahaTon se Dhaega
wo rashk-e-gul qatar-e-gul
qadam qadam khilaega
wo apni sari nikhaten
meri nazar mein laega
wo ranjishon ke daur mein
rifaqaten baDhaega
jhuka jhuka ke chashm-e-nam
qayamaten uThaega
sharik-e-dard us ka main
wo mere dukh baTaega
hain jaan-o-ruh muntazir
ki wo kabhi to aaega
meri nigah-e-shauq wo
kahin giri jo paega
ada-e-KHush-guman se
wo chum kar uThaega
wo laj zeb-tan kiye
jo mahfilon mein jaega
gurez ghair se mere
qarib aur aaega
wo ham-safar wo ajnabi
'azab-e-jaan miTaega
magar ai sarw-e-arzu
wo kis jahan se aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.