Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

self-portrait

Niyaz Haidar

self-portrait

Niyaz Haidar

MORE BYNiyaz Haidar

    dekhā hai kisī ne use kahīñ

    aadhe sar meñ uljhe uljhe ujle baal

    sāñvle rañg ke chehre par bhī

    ujle bāloñ bhauñchāl

    us sūrat

    kabhī kabhī malgajī shaam

    kabhī sahar nūrānī hai

    andhiyāre ujiyāle ye sūrat fann-e-lā-fānī hai

    peshānī ke ā.īne par mar-miTte lākhoñ ākāsh

    dīvānī dīvānī āñkheñ

    aur bahut be-sabr nigāheñ

    dushT-manoñ ke har patthar meñ

    priit aur komaltā talāsh

    us ke tan par garm kafan aur ThanDī kafanī sajtī hai

    sachchā ruup hai pāgal-pan behad ajiib hastī hai

    mast anek nashoñ meñ us ke sab din aur sab rāteñ

    us ke bahke qadam kareñ dhartī ke dil se bāteñ

    galī galī meñ chaurāhe par bhiiḌ ho ho tanhā.ī

    is duniyā ke hosh kar parkhe, nashe meñ us bīnā.ī

    dekhā hai kisī ne use kahīñ

    dekha hai kisi ne use kahin

    aadhe sar mein uljhe uljhe ujle baal

    sanwle rang ke chehre par bhi

    ujle baalon ka bhaunchaal

    us ki surat

    kabhi kabhi malgaji sham si

    kabhi sahar nurani hai

    andhiyare ujiyale ki ye surat fann-e-la-fani hai

    peshani ke aaine par mar-miTte lakhon aakash

    diwani diwani aankhen

    aur bahut be-sabr nigahen

    dushT-manon ke har patthar mein

    prit aur komalta ki talash

    us ke tan par garm kafan aur ThanDi kafani sajti hai

    sachcha rup hai pagal-pan ka behad ajib hasti hai

    mast anek nashon mein us ke sab din aur sab raaten

    us ke bahke qadam karen dharti ke dil se baaten

    gali gali mein chaurahe par bhiD ho ya ho tanhai

    is duniya ke hosh kar parkhe, nashe mein us ki binai

    dekha hai kisi ne use kahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now