Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

selfi

MORE BYSalman Sarwat

    narcissus ke pahlū meñ baiThe hue

    aks apnā tālāb meñ dekh kar

    kitnī sadiyoñ se apnī ulfat meñ gum

    ḳhud-pasandī ke maare hue log the

    ḳhud-numā.ī ke zer-e-asar aa ga.e

    ā.īne fusūñ is qadar baḌh gayā

    ḳhud ko tasvīr karne ḳhvāhish uThī

    apne hāthoñ meñ apnī āñkheñ liye

    muḳhtalif zāviyoñ se nazar ḳhud pe

    be-yaqīñ ho ga.e

    ḳhud-farebī meñ mad.hosh hote hue

    iztirāb nazaryoñ maraz ban gayā

    ik vabā tarah phailtā gayā

    nafsiyātī girah jab ulajhne lagī

    apnī tash.hīr sar meñ saudā liye

    aap apnā tamāsha lagāyā gayā

    aur dikhāve ke be-sūd qirtās par

    naqsh-dar-naqsh ḳhud ko miTāyā gayā

    ruup bahrūp sūrat meñ laayā gayā

    ḳhāl-o-ḳhad gum hue

    shaḳhsiyat ke sabhī rañg uḌte ga.e

    aur be-chehragī aks hone lagī

    narcissus ke pahlu mein baiThe hue

    aks apna hi talab mein dekh kar

    kitni sadiyon se apni hi ulfat mein gum

    KHud-pasandi ke mare hue log the

    KHud-numai ke zer-e-asar aa gae

    aaine ka fusun is qadar baDh gaya

    KHud ko taswir karne ki KHwahish uThi

    apne hathon mein apni hi aankhen liye

    muKHtalif zawiyon se nazar KHud pe ki

    be-yaqin ho gae

    KHud-farebi mein madhosh hote hue

    iztirab nazaryon maraz ban gaya

    ek waba ki tarah phailta hi gaya

    nafsiyati girah jab ulajhne lagi

    apni tashhir ka sar mein sauda liye

    aap apna tamasha lagaya gaya

    aur dikhawe ke be-sud qirtas par

    naqsh-dar-naqsh KHud ko miTaya gaya

    rup bahrup surat mein laya gaya

    KHal-o-KHad gum hue

    shaKHsiyat ke sabhi rang uDte gae

    aur be-chehragi aks hone lagi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now