shairi
hijr bhī shā'irī vasl bhī shā'irī
dard hai shā'irī aur sukūñ shā'irī
rang bhī shā'irī phuul bhī shā'irī
aur māhaul meñ phailtī ḳhushbueñ shā'irī
din kī tābindagī shā'irī raat kā har fusūñ shā'irī
aag bhī shā'irī
aur samundar se uThtī huī lahar kī har tabāhī bhī ik shā'irī
hai havas shā'irī
aur qanā'at kā husn-e-yaqīñ shā'irī
shā'irī kun bhī hai
aur dhunkī huī ruī kī misl uḌte hue koh bhī shā'irī
shā'irī hai azal shā'irī hai abad
ye zamīñ āsmāñ aur un ke miyāñ
sab kā sab shā'irī
shā'irī vaqt hai
shā'irī isti'āra tavāzun kā hai
aur ye kā.enāt-e-basīt ik mukammal tavāzun kā shahkār hai
hijr bhi sha'iri wasl bhi sha'iri
dard hai sha'iri aur sukun sha'iri
rang bhi sha'iri phul bhi sha'iri
aur mahaul mein phailti KHushbuen sha'iri
din ki tabindagi sha'iri raat ka har fusun sha'iri
aag bhi sha'iri
aur samundar se uThti hui lahar ki har tabahi bhi ek sha'iri
hai hawas sha'iri
aur qana'at ka husn-e-yaqin sha'iri
sha'iri kun bhi hai
aur dhunki hui rui ki misl uDte hue koh bhi sha'iri
sha'iri hai azal sha'iri hai abad
ye zamin aasman aur un ke miyan
sab ka sab sha'iri
sha'iri waqt hai
sha'iri isti'ara tawazun ka hai
aur ye kaenat-e-basit ek mukammal tawazun ka shahkar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.