Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shair ke dil ki tamanna

Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

shair ke dil ki tamanna

Lala Anoop Chand Aaftab Panipati

MORE BYLala Anoop Chand Aaftab Panipati

    miT jaa.eñ mulk se buġhz-o-hasad aur dil meñ vatan izzat ho

    dāman meñ fazāoñ ke har ik amn-o-sukūñ sarvat ho

    siine hoñ paak kudūrat se har lab par naġhma-e-ulfat ho

    firdaus-e-barīñ namūna phir duniyā meñ pyārā bhārat ho

    ulfat sar meñ saudā hai jazbāt tūfāñ barpā hai

    ghar ghar meñ prem gañgā ho shā.ir ke dil tamannā hai

    ai bhārat maatā laal tire is daur-e-ḳhizāñ meñ sambhal jaa.eñ

    sāñche meñ prem aur uns ke ab sab hindū muslim Dhal jaa.eñ

    naġhmoñ se sachchī mohabbat ke duniyā fazā.eñ badal jaa.eñ

    ye manzar dekh ke ulfat ke aañsū āñkhoñ se nikal jaa.eñ

    ulfat sar meñ saudā hai jazbāt tūfāñ barpā hai

    ghar ghar meñ prem gañgā ho shā.ir ke dil tamannā hai

    vo mulk hai duniyā se achchhā jo rashk-e-jināñ kahlātā hai

    ārām-o-rāhat chīzeñ sab jis meñ insāñ paatā hai

    ai murlī-dhar janm-bhūmī saare sukhoñ daatā hai

    ham terī aan pe marte haiñ to pyārī bhārat-mātā hai

    ulfat sair meñ saudā hai jazbāt tūfāñ barpā hai

    ghar ghar meñ prem gañgā ho shā.ir ke dil tamannā hai

    bhar bhar ke jām-e-mohabbat ke mai-ḳhāna-dahr meñ ḳhuub piyeñ

    gokul meñ nand laala ho murlī pyārī Ter suneñ

    vo naġhme havāoñ meñ gaūñjīñ sote hue jazbe jaag uTheñ

    ujḌī huī bastī ko dil yuuñ ahl-e-vatan ābād kareñ

    ulfat sar meñ saudā hai jazbāt tūfāñ barpā hai

    ghar ghar meñ prem gañgā ho shā.ir ke dil tamannā hai

    har shaḳhs ho vajd ke aalam meñ ik dilkash raag laboñ par ho

    rūhānī naġhme sun sun kar bedār bashar muqaddar ho

    āñkhoñ ke sāmne duniyā meñ ik sachche prem manzar ho

    ik uns-o-mohabbat aalam aalam meñ aaj sarāsar ho

    ulfat sar meñ saudā hai jazbāt tūfāñ barpā hai

    ghar ghar meñ prem gañgā ho shā.ir ke dil tamannā hai

    jalvoñ se husn-e-azal ke ab sab ḳhurd-o-kalāñ pur-nūr raheñ

    mai ke ishq-e-haqīqī ulfat ke nashe meñ chuur raheñ

    duniyā meñ rah kar duniyā ke jhagḌoñ se kosoñ duur raheñ

    ham pyāre kirshn bhagTī meñ sarshār raheñ masrūr raheñ

    ulfat sair meñ saudā hai jazbāt tūfāñ barpā hai

    ghar ghar meñ prem gañgā ho shā.ir ke dil tamannā hai

    miT jaen mulk se bughz-o-hasad aur dil mein watan ki izzat ho

    daman mein fazaon ke har ja ek amn-o-sukun ki sarwat ho

    sine hon pak kudurat se har lab par naghma-e-ulfat ho

    firdaus-e-barin ka namuna phir duniya mein pyara bhaarat ho

    ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai

    ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai

    ai bhaarat mata lal tere is daur-e-KHizan mein sambhal jaen

    sanche mein prem aur uns ke ab sab hindu muslim Dhal jaen

    naghmon se sachchi mohabbat ke duniya ki fazaen badal jaen

    ye manzar dekh ke ulfat ke aansu aankhon se nikal jaen

    ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai

    ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai

    wo mulk hai duniya se achchha jo rashk-e-jinan kahlata hai

    aaram-o-rahat ki chizen sab jis mein insan pata hai

    ai murli-dhar ki janm-bhumi tu sare sukhon ki data hai

    hum teri aan pe marte hain to pyari bhaarat-mata hai

    ulfat ka sair mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai

    ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai

    bhar bhar ke jam-e-mohabbat ke mai-KHana-dahr mein KHub piyen

    gokul mein nand ka lala ho murli ki pyari Ter sunen

    wo naghme hawaon mein gaunjin sote hue jazbe jag uThen

    ujDi hui basti ko dil ki yun ahl-e-watan aabaad karen

    ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai

    ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai

    har shaKHs ho wajd ke aalam mein ek dilkash rag labon par ho

    ruhani naghme sun sun kar bedar bashar ka muqaddar ho

    aankhon ke samne duniya mein ek sachche prem ka manzar ho

    ek uns-o-mohabbat ka aalam aalam mein aaj sarasar ho

    ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai

    ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai

    jalwon se husn-e-azal ke ab sab KHurd-o-kalan pur-nur rahen

    mai pi ke ishq-e-haqiqi ki ulfat ke nashe mein chur rahen

    duniya mein rah kar duniya ke jhagDon se koson dur rahen

    hum pyare kirshn ki bhagTi mein sarshaar rahen masrur rahen

    ulfat ka sair mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai

    ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai

    Source:

    Josh-e-watan (Pg. E-34 B-32)

    • Author: Lala Anoop Chand Aaftab Panipati
      • Edition: 1941
      • Publisher: Matbua Dilli Printing Works, Delhi
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now