Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shayad gulab shayad kabutar

Rais Farogh

shayad gulab shayad kabutar

Rais Farogh

MORE BYRais Farogh

    phir kyā huā

    phir yuuñ huā

    ki us ek aañkh se chamgādaḌ ne chhalāñg lagā.ī

    aur ek aañkh se phaḌphaḌātā huā ḳhār-e-pusht niklā

    phir jo vo ek dūsre par jhapTe haiñ

    to aise jhapTe

    ki muñDereñ kabūtaroñ se

    aur kiyāriyāñ gulāboñ se

    bhar ga.iiñ

    us din ke ba.ad ham ne madārī ko kabhī nahīñ dekhā

    achchhā ab tum

    mere liye paan lagā do

    aur achchhe ḳhvāboñ pe dhyān jamā ke

    so jaao

    phir kya hua

    phir yun hua

    ki us ki ek aankh se chamgadaD ne chhalang lagai

    aur ek aankh se phaDphaData hua KHar-e-pusht nikla

    phir jo wo ek dusre par jhapTe hain

    to aise jhapTe

    ki munDeren kabutaron se

    aur kiyariyan gulabon se

    bhar gain

    us din ke baad hum ne madari ko kabhi nahin dekha

    achchha ab tum

    mere liye pan laga do

    aur achchhe KHwabon pe dhyan jama ke

    so jao

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now