shab-charagh
Interesting Fact
گومتی کی شاداب وادی کے نام
phir vahī kunj-e-qafas phir vahī tanhā.ī hai
vahī yādoñ kā charāġhāñ vahī ḳhvāboñ kā tilism
vahī sangīt vahī giit vahī ras vahī lai
vahī phūloñ kī qabā mauj-e-mai-e-nāb sā jism
vahī 'āriz vahī āñkheñ vahī zulfeñ ki jinheñ
maiñ kabhī bhuul na paayā thā ki phir yaad aa.e
ḳham-e-abru bhī vahī sāya-e-mizhgāñ bhī vahī
phir vahī lab jinheñ dekho to na dekhā jaa.e
phir vahī shahr-e-tarab ḳhvāb-gah-e-rāmish-o-rang
kaj-kulāhoñ kā vatan zohra-jabīnoñ kā dayār
vahī rauñdī huī rāhoñ kī nashīlī ḳhushbū
jagmagātī huī rātoñ kī fazā-e-sarshār
shabnamistāñ bhī vahī kunj-o-ḳhayābāñ bhī vahī
vahī dariyā kī havā.eñ vahī bāġhoñ kī fazā
le ke phir aa.ī hai vaadī kī vahī raqqāsa
bahke bahke se qadam phuul katarne kī adā
phir jharokoñ meñ koī chāñd utar aayā hai
phir sar-e-parda-e-dar jumbish-e-mizrāb huī
luT gayā naqd-e-sukūñ phir usī āvāz ke saath
zulf kī chhāñv meñ phir shām-e-mai-e-nāb huī
raat phir jhuktī chalī aa.ī hai chupke chupke
phir taqāza hai vahī aao chalo lauT chaleñ
vahī mauhūm sī dahshat vahī mub.ham sā savāl
vahī uljhan ki jo kahnā hai vo kis taur kaheñ
ho ga.e raah ke zarre bhī harīf-e-ġham-e-dil
phir vahī moḌ jahāñ dast-e-hinā.ī chhūTā
giit phir Duub ga.e ḳhvāb ke vīrānoñ meñ
phir luTī bazm-e-tarab sāz-e-tarab phir TuuTā
phir vahī soch ki jiine ke bahāne kyā hoñ
phir vahī fikr ki kab tak ġham-e-rusvā.ī hai
dil-e-pur-ḳhūñ bhī vahī hai vahī saudā-e-vafā
phir vahī kunj-e-qafas phir vahī tanhā.ī hai
phir wahi kunj-e-qafas phir wahi tanhai hai
wahi yaadon ka charaghan wahi KHwabon ka tilism
wahi sangit wahi git wahi ras wahi lai
wahi phulon ki qaba mauj-e-mai-e-nab sa jism
wahi 'ariz wahi aankhen wahi zulfen ki jinhen
main kabhi bhul na paya tha ki phir yaad aae
KHam-e-abru bhi wahi saya-e-mizhgan bhi wahi
phir wahi lab jinhen dekho to na dekha jae
phir wahi shahr-e-tarab KHwab-gah-e-ramish-o-rang
kaj-kulahon ka watan zohra-jabinon ka dayar
wahi raundi hui rahon ki nashili KHushbu
jagmagati hui raaton ki faza-e-sarshaar
shabnamistan bhi wahi kunj-o-KHayaban bhi wahi
wahi dariya ki hawaen wahi baghon ki faza
le ke phir aai hai wadi ki wahi raqqasa
bahke bahke se qadam phul katarne ki ada
phir jharokon mein koi chand utar aaya hai
phir sar-e-parda-e-dar jumbish-e-mizrab hui
luT gaya naqd-e-sukun phir usi aawaz ke sath
zulf ki chhanw mein phir sham-e-mai-e-nab hui
raat phir jhukti chali aai hai chupke chupke
phir taqaza hai wahi aao chalo lauT chalen
wahi mauhum si dahshat wahi mubham sa sawal
wahi uljhan ki jo kahna hai wo kis taur kahen
ho gae rah ke zarre bhi harif-e-gham-e-dil
phir wahi moD jahan dast-e-hinai chhuTa
git phir Dub gae KHwab ke viranon mein
phir luTi bazm-e-tarab saz-e-tarab phir TuTa
phir wahi soch ki jine ke bahane kya hon
phir wahi fikr ki kab tak gham-e-ruswai hai
dil-e-pur-KHun bhi wahi hai wahi sauda-e-wafa
phir wahi kunj-e-qafas phir wahi tanhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.