Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-badar

Asghar Nadeem Syed

shahr-badar

Asghar Nadeem Syed

MORE BYAsghar Nadeem Syed

    shaam piñjra mere jism pe gir jaatā hai

    aur maiñ darja dom qaidī

    dushman ke aḳhbār se puurī duniyā ke logoñ bigaḌtī shakleñ dekhne lagtā huuñ

    aur sūraj āzādī

    mere jiine ḳhvāhish ko apnā dost banāne aa jaatī hai

    mere nāshte ke bartan meñ merī mohabbat ke barsoñ saarā zā.iqa bhar jaatā hai

    cigarette ke har kash se dariyā khīñch aate haiñ

    aur parinde apnī aulādoñ ko mere giit chogā dete haiñ

    jab mere paañv un ke banā.e zābtoñ daldal meñ dhañs jaate haiñ

    merī āñkheñ lākhoñ miil safar kar jaatī haiñ

    aur mere baazū rail donoñ paTriyāñ ban kar phailte haiñ

    jab merī ragoñ meñ shā.erī ḳhuun banātī hai

    maiñ shaam piñjra toḌ ke bāhar aa jaatā huuñ

    mere paañv ke sab rishte ik duuje se juḌ jaate haiñ

    mere lafz daraḳhtoñ ke gumbad meñ kabūtar ban ke gaTalne lagte haiñ

    meñ apne sirhāne baiThe neruda se kuchh bāteñ pūchhtā huuñ

    sham ka pinjra mere jism pe gir jata hai

    aur main darja dom ka qaidi

    dushman ke aKHbar se puri duniya ke logon ki bigaDti shaklen dekhne lagta hun

    aur suraj ki aazadi

    mere jine ki KHwahish ko apna dost banane aa jati hai

    mere nashte ke bartan mein meri mohabbat ke barson ka sara zaiqa bhar jata hai

    cigarette ke har kash se dariya khinch aate hain

    aur parinde apni auladon ko mere git ka choga dete hain

    jab mere panw un ke banae zabton ki daldal mein dhans jate hain

    meri aankhen lakhon mil safar kar jati hain

    aur mere bazu rail ki donon paTriyan ban kar phailte hain

    jab meri ragon mein shaeri KHun banati hai

    main sham ka pinjra toD ke bahar aa jata hun

    mere panw ke sab rishte ek duje se juD jate hain

    mere lafz daraKHton ke gumbad mein kabutar ban ke gaTalne lagte hain

    mein apne sirhane baiThe neruda se kuchh baaten puchhta hun

    Source:

    meyaar (Pg. 106)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now