Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shampain aur main

Hasan Alvi

shampain aur main

Hasan Alvi

MORE BYHasan Alvi

    barf se lakḌī kashīd karte hue

    ek dūsre ko ghūrte haiñ

    bārīk filter vaale cigarette rag meñ

    sho.ale lahū ThanDā paḌ gayā hai

    marmarīñ sargoshiyāñ

    camp ke nuqra.ī sannāTe khaal kāTtī haiñ

    botal shiknoñ meñ ūñghtī boriyat

    dhuñd lams rahī hai

    ariana ke thirakte hue kāsnī hoñT

    ḳhvāb ke niile māthe se baal haTā kar

    narm bose taḳhlīq karte haiñ

    aphrodite ke jism se pighaltī

    nisvānī kashish bhīgī uljhan

    kaafī ke daane chaaT rahī hai

    barf god meñ lamhe

    qadīm yūnānī bāshindoñ tarah

    lazzat aag taap rahe haiñ

    junūñ ke Dhīle badan meñ

    zabt kamān TūTnā chāhtī hai

    barf se lakDi kashid karte hue

    ek dusre ko ghurte hain

    barik filter wale cigarette ki rag mein

    shoale ka lahu ThanDa paD gaya hai

    marmarin sargoshiyan

    camp ke nuqrai sannaTe ki khaal kaTti hain

    botal ki shiknon mein unghti boriyat

    dhund ka lams pi rahi hai

    ariana ke thirakte hue kasni honT

    KHwab ke nile mathe se baal haTa kar

    narm bose taKHliq karte hain

    aphrodite ke jism se pighalti

    niswani kashish ki bhigi uljhan

    kafi ke dane chaT rahi hai

    barf ki god mein lamhe

    qadim yunani bashindon ki tarah

    lazzat ki aag tap rahe hain

    junun ke Dhile badan mein

    zabt ki kaman TuTna chahti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now