shikast
ye tīsrī shikast hai ikkīs saal meñ
ik aur baar mujh ko mohabbat nahīñ milī
jaise kisī ajiir ko mehnat ke bāvajūd
us ke 'azīm kaam kī ujrat nahīñ milī
jaise siyāh raat meñ tāroñ ko ahmiyat
jaise 'alī ke haath meñ duniyā kī saltanat
mujh ko mire nasīb kā kuchh bhī nahīñ milā
yā'nī na ahmiyat hī milī aur na saltanat
bārish bhī jis zamīn pe barsī nahīñ kabhī
aisā hī bad-nasīb maiñ sahrā huuñ yaar dekh
mujh par mire tabīb tavajjoh zarā sī ho
is baar terī soch se gahrā huuñ yaar dekh
tū joḌiyāñ banā ke utāre zamīn par
in joḌiyoñ meñ koī nishānī 'ayāñ to kar
hai kaun kis ke vāste kaise pata chale
taqdīr likhne vaale ye ham ko bayāñ to kar
mujh ko milī shikast meñ terā bhī haath hai
maiñ tiin baar 'ishq meñ varna na hārtā
gar hotī mujh pe terī 'ināyat zarā sī bhī
maiñ bhī kisī hasīn kī zulfeñ sañvārtā
tujh se mirā gila bhī ḳhudāyā fuzūl hai
mujh ko kareñ mu'āf ki merī ye bhuul hai
ab merī zindagī meñ hai Thahrāv aa gayā
yā'nī mire nasīb meñ jo hai qubūl hai
allah jī mā'zarat maiñ gunāhgār ho gayā
maiñ chauthe 'ishq ke liye tayyār ho gayā
ye tisri shikast hai ikkis sal mein
ek aur bar mujh ko mohabbat nahin mili
jaise kisi ajir ko mehnat ke bawajud
us ke 'azim kaam ki ujrat nahin mili
jaise siyah raat mein taron ko ahmiyat
jaise 'ali ke hath mein duniya ki saltanat
mujh ko mere nasib ka kuchh bhi nahin mila
ya'ni na ahmiyat hi mili aur na saltanat
barish bhi jis zamin pe barsi nahin kabhi
aisa hi bad-nasib main sahra hun yar dekh
mujh par mere tabib tawajjoh zara si ho
is bar teri soch se gahra hun yar dekh
tu joDiyan bana ke utare zamin par
in joDiyon mein koi nishani 'ayan to kar
hai kaun kis ke waste kaise pata chale
taqdir likhne wale ye hum ko bayan to kar
mujh ko mili shikast mein tera bhi hath hai
main tin bar 'ishq mein warna na haarta
gar hoti mujh pe teri 'inayat zara si bhi
main bhi kisi hasin ki zulfen sanwarta
tujh se mera gila bhi KHudaya fuzul hai
mujh ko karen mu'af ki meri ye bhul hai
ab meri zindagi mein hai Thahraw aa gaya
ya'ni mere nasib mein jo hai qubul hai
allah ji ma'zarat main gunahgar ho gaya
main chauthe 'ishq ke liye tayyar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.