Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikwa

Sadiqa Fatimi

shikwa

Sadiqa Fatimi

MORE BYSadiqa Fatimi

    Interesting Fact

    The cry of the helpless loneliness of the old wife of a debaucher Jagir-Dar.

    ye tire hoñT ye ruḳhsār ye ḳhāmosh nazar

    jaise mandar meñ saje baiThe hoñ patthar ke sanam

    maiñ to har roz na.e diip liye aatī huuñ

    ne anjān bane rahne khaa.ī hai qasam

    maiñ huuñ tasvīr-e-vafā mujh se gurezāñ kyoñ hai

    ishq lauh pe kyā maiñ huuñ koī harf-e-ġhalat

    ne kitnoñ ko navāzā hai karam se apne

    maiñ to rahtī huuñ yahāñ sūrat-e-aġhyār faqat

    log dete haiñ tujhe gauhar-e-nāyāb to kyā

    maiñ to detī huuñ tujhe qalb-o-nazar sauġhāt

    tujh ko mālūm hai ḳhuub mujhe jāntā hai

    terī zaat meñ gum rahtī hai har dam mirī zaat

    maiñ ne jo phuul bikhere haiñ tire qadmoñ par

    kitne taaza haiñ zarā ek nazar dekh to le

    ḳhuun rotī huī āñkheñ ye shikasta dāman

    yuuñ bhī rangīn haiñ ye shām-o-sahar dekh to le

    kitnī muddat se khaḌī huuñ yahī ummīd liye

    aaj mumkin hai ki merī mohabbat māñge

    shāyad āñkheñ tirī ḳhud merī mohabbat māñgeñ

    tere dil meñ mirī ulfat tamannā jaage

    ye tere honT ye ruKHsar ye KHamosh nazar

    jaise mandar mein saje baiThe hon patthar ke sanam

    main to har roz nae dip liye aati hun

    tu ne anjaan bane rahne ki khai hai qasam

    main hun taswir-e-wafa mujh se gurezan kyon hai

    ishq ki lauh pe kya main hun koi harf-e-ghalat

    tu ne kitnon ko nawaza hai karam se apne

    main to rahti hun yahan surat-e-aghyar faqat

    log dete hain tujhe gauhar-e-nayab to kya

    main to deti hun tujhe qalb-o-nazar ki saughat

    tujh ko malum hai tu KHub mujhe jaanta hai

    teri hi zat mein gum rahti hai har dam meri zat

    main ne jo phul bikhere hain tere qadmon par

    kitne taza hain zara ek nazar dekh to le

    KHun roti hui aankhen ye shikasta daman

    yun bhi rangin hain ye sham-o-sahar dekh to le

    kitni muddat se khaDi hun yahi ummid liye

    aaj mumkin hai ki tu meri mohabbat mange

    shayad aankhen teri KHud meri mohabbat mangen

    tere dil mein meri ulfat ki tamanna jage

    Source:

    Dhadkan (Pg. 147)

    • Author: Sadiqa Fatimi
      • Publisher: Inder Kumar Gujral
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now