shor
mire sā.ebāñ par
utartī huī dhuup ḳhāmosh thī
aur
sākit fazā
DhūñDhtī thī sadā.eñ
ajab haal thā
zindagī se bahut fāsle par thiiñ
zinda havā.eñ
magar jaane kis samt se
ek āvāz aa.ī ki
saut-o-sadā kis liye chāhte ho
sukūt-e-muqaddas ko tum
zindagī kyoñ nahīñ jānte ho
ki
hangāma-e-hā-o-hū kuchh nahīñ hai
use kyoñ nahīñ mānte ho
musalsal ye āvāz aane lagī hai
musalsal ye āvāz aane lagī hai
mire sā.ebāñ meñ
ajab ek hangāma-e-hā-o-hū
ek ajab shor-e-tūfāñ jagāne lagī hai
musalsal ye āvāz aane lagī hai
musalsal ye āvāz aane lagī hai
mere saeban par
utarti hui dhup KHamosh thi
aur
sakit faza
DhunDhti thi sadaen
ajab haal tha
zindagi se bahut fasle par thin
zinda hawaen
magar jaane kis samt se
ek aawaz aai ki
saut-o-sada kis liye chahte ho
sukut-e-muqaddas ko tum
zindagi kyon nahin jaante ho
ki
hangama-e-ha-o-hu kuchh nahin hai
use kyon nahin mante ho
musalsal ye aawaz aane lagi hai
musalsal ye aawaz aane lagi hai
mere saeban mein
ajab ek hangama-e-ha-o-hu
ek ajab shor-e-tufan jagane lagi hai
musalsal ye aawaz aane lagi hai
musalsal ye aawaz aane lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.