Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sip

MORE BYNaseer Parwaz

    sapnoñ ke mahakte āñgan meñ

    kirneñ na bikhreñ chāhat

    ḳhushbū ne aañkh kahāñ kholī

    suunī haiñ bāñheñ qurbat

    lajjā ke komal adhroñ se

    kab milan huā do shabdoñ

    kab man-sāgar meñ jvaar uThā

    kab chandā pighlā sāñsoñ

    kab titlī ne kaliyoñ ras

    kar tan shringār kiyā

    kab jaagī āñkhoñ bhāshā

    kab chāhat ko ādhār kiyā

    kab barkhā barsī va.adoñ

    kab aashā āñchal bhīgā

    kab phuul khile kab shāḳh jhukī

    kab huā basantī tan giilā

    kab shāḳh pe dhaḌkan phūTā

    ankur qasmoñ ke mausam

    kab gūñjā dil bastī meñ

    sur indr-dhanush sargam

    kitne sāvan kitne bhādo

    jal ga.e samay agnī meñ

    kab niim meñ mīThe aam lage

    kab patthar pighlā paanī meñ

    sadiyoñ se ab tak zinda hai

    dhartī se ambar duurī

    har siine par ankit niklī

    andhī rasmoñ majbūrī

    har aañkh meñ patjhaḌ mausam

    har jism chitā raakh huā

    chāñdī sonā be-mol bike

    koī na sachchī saakh huā

    kis ko apnā mānūñ āḳhir

    kis mukh par apnā naam likhūñ

    ye jīvan ik korā kāġhaz

    ab kis ko kyā paiġhām likhūñ

    champa.ī laal niile piile

    jo rang bhī dil ko bhāte haiñ

    sab pal do pal saaya haiñ

    sab miTTī meñ mil jaate haiñ

    kuchh jīvan banjar dhartī par

    be-maqsad jiite rahte haiñ

    aur pyaas nahīñ bujhtī un

    bas aañsū piite rahte haiñ

    aashā be-nām sadāqat hai

    sonā miTTī ho jaatā hai

    jo bhī miltā hai duniyā meñ

    āḳhir ik din kho jaatā hai

    sapnon ke mahakte aangan mein

    kirnen na bikhren chahat ki

    KHushbu ne aankh kahan kholi

    suni hain banhen qurbat ki

    lajja ke komal adhron se

    kab milan hua do shabdon ka

    kab man-sagar mein jwar uTha

    kab chanda pighla sanson ka

    kab titli ne kaliyon ka ras

    pi kar tan ka shringar kiya

    kab jagi aankhon ki bhasha

    kab chahat ko aadhaar kiya

    kab barkha barsi wadon ki

    kab aasha ka aanchal bhiga

    kab phul khile kab shaKH jhuki

    kab hua basanti tan gila

    kab shaKH pe dhaDkan ki phuTa

    ankur qasmon ke mausam ka

    kab gunja dil ki basti mein

    sur indr-dhanush ki sargam ka

    kitne sawan kitne bhado

    jal gae samay ki agni mein

    kab nim mein miThe aam lage

    kab patthar pighla pani mein

    sadiyon se ab tak zinda hai

    dharti se ambar ki duri

    har sine par ankit nikli

    andhi rasmon ki majburi

    har aankh mein patjhaD ka mausam

    har jism chita ki rakh hua

    chandi sona be-mol bike

    koi na sachchi sakh hua

    kis ko apna manun aaKHir

    kis mukh par apna nam likhun

    ye jiwan ek kora kaghaz

    ab kis ko kya paigham likhun

    champai lal nile pile

    jo rang bhi dil ko bhate hain

    sab pal do pal ka saya hain

    sab miTTi mein mil jate hain

    kuchh jiwan banjar dharti par

    be-maqsad jite rahte hain

    aur pyas nahin bujhti un ki

    bas aansu pite rahte hain

    aasha be-nam sadaqat hai

    sona miTTi ho jata hai

    jo bhi milta hai duniya mein

    aaKHir ek din kho jata hai

    Source:

    Lamhon Pe Sadiyan (Pg. 100)

    • Author: Naseer Parwaz
      • Publisher: Naseer Parwaz
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now