Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

so ab bhi hai

Nazar Barni

so ab bhi hai

Nazar Barni

MORE BYNazar Barni

    vahī begam ḳhūñ-ḳhvārī jo pahle thī so ab bhī hai

    vahī derīna bīmārī jo pahle thī so ab bhī hai

    vahī Tar-Tar vahī ḳhafgī vahī ġhamze vahī ishve

    vahī tānoñ bīmārī jo pahle thī so ab bhī hai

    buḌhāpe meñ bhī in ko shauq haiñ ahd-e-javānī ke

    ''lipstick'' ḳharīdārī jo pahle thī so ab bhī hai

    vahī hai rūThnā in vahī maike hai dhamkī

    vahī zillat vahī ḳhvārī jo pahle thī so ab bhī hai

    kabhī hai saas ronā kabhī nandoñ se hai jhagḌā

    zabāñ hai in ''do-dhārī'' jo pahle thī so ab bhī hai

    faqat apne maike kiyā kartī haiñ tārīfeñ

    merī amaañ se be-zārī jo pahle thī so ab bhī hai

    adab doctor ban kar milā kyā ham ġharīboñ ko

    ġharībī aur bekārī jo pahle thī so ab bhī hai

    huī shādī hue bachche 'nazar' haal hai patlā

    vahī ab bhī hai lāchārī jo pahle thī so ab bhī hai

    wahi begam ki KHun-KHwari jo pahle thi so ab bhi hai

    wahi derina bimari jo pahle thi so ab bhi hai

    wahi Tar-Tar wahi KHafgi wahi ghamze wahi ishwe

    wahi tanon ki bimari jo pahle thi so ab bhi hai

    buDhape mein bhi in ko shauq hain ahd-e-jawani ke

    lipstick ki KHaridari jo pahle thi so ab bhi hai

    wahi hai ruThna in ka wahi maike ki hai dhamki

    wahi zillat wahi KHwari jo pahle thi so ab bhi hai

    kabhi hai sas ka rona kabhi nandon se hai jhagDa

    zaban hai in ki do-dhaari jo pahle thi so ab bhi hai

    faqat apne hi maike ki kiya karti hain tarifen

    meri aman se be-zari jo pahle thi so ab bhi hai

    adab ka doctor ban kar mila kya hum gharibon ko

    gharibi aur bekari jo pahle thi so ab bhi hai

    hui shadi hue bachche 'nazar' ka haal hai patla

    wahi ab bhi hai lachaari jo pahle thi so ab bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now