Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sone se pahle ek KHayal

Kishwar Naheed

sone se pahle ek KHayal

Kishwar Naheed

MORE BYKishwar Naheed

  mujhe november dhuup tarah mat chāho

  ki is meñ Duubo to tamāzat meñ nahā jaao

  aur is se alag ho to

  ThanDak ko por por meñ utartā dekho

  mujhe sāvan ke bādal tarah chāho

  ki us saaya bahut gahrā

  nas nas meñ pyaas bujhāne vaalā

  magar us vajūd pal meñ havā

  pal meñ paanī Dher

  mujhe shaam shafaq tarah mat chāho

  ki āsmān ke qurmuzī rañgoñ tarah

  mere gaal surḳh

  magar lamha-bhar ba.ad

  hijr meñ nahā kar, raat mailī mailī

  mujhe chaltī havā tarah mat chāho

  ki jis ke qayām se dam ghuTtā hai

  aur jis tez-ravī qadam ukheḌ detī hai

  mujhe Thahre paanī tarah mat chāho

  ki maiñ is meñ kañval ban ke nahīñ rah saktī huuñ

  mujhe bas itnā chāho

  ki mujh meñ chāhe jaane ḳhvāhish jaag uThe!

  mujhe nowember ki dhup ki tarah mat chaho

  ki is mein Dubo to tamazat mein naha jao

  aur is se alag ho to

  ThanDak ko por por mein utarta dekho

  mujhe sawan ke baadal ki tarah chaho

  ki us ka saya bahut gahra

  nas nas mein pyas bujhane wala

  magar us ka wajud pal mein hawa

  pal mein pani ka Dher

  mujhe sham ki shafaq ki tarah mat chaho

  ki aasman ke qurmuzi rangon ki tarah

  mere gal surKH

  magar lamha-bhar baad

  hijr mein naha kar, raat si maili maili

  mujhe chalti hawa ki tarah mat chaho

  ki jis ke qayam se dam ghuTta hai

  aur jis ki tez-rawi qadam ukheD deti hai

  mujhe Thahre pani ki tarah mat chaho

  ki main is mein kanwal ban ke nahin rah sakti hun

  mujhe bas itna chaho

  ki mujh mein chahe jaane ki KHwahish jag uThe!

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Kishwar Naheed

  Kishwar Naheed

  RECITATIONS

  Kishwar Naheed

  Kishwar Naheed,

  Azra Naqvi

  Azra Naqvi,

  Kishwar Naheed

  sone se pahle ek KHayal Kishwar Naheed

  Azra Naqvi

  Sone se pehle ek khayal - nazm Azra Naqvi

  Source :
  • Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 972)
  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now