aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-e-judai

Majeed Amjad

subh-e-judai

Majeed Amjad

MORE BYMajeed Amjad

    ab dhundlī paḌtī jaatī hai tārīki-e-shab maiñ jaatā huuñ

    vo sub.h taarā ubhrā vo pau phūTī ab maiñ jaatā huuñ

    jaatā huuñ ijāzat jaane do vo dekho ujāle chhāne ko haiñ

    sūraj sunahrī kirnoñ ke ḳhāmosh bulāve aane ko haiñ

    vo phūloñ ke gajre jo tum kal shaam piro kar laa.ī thiiñ

    vo kaliyāñ jin se tum ne ye rañgīñ sījeñ mahkā.ī thiiñ

    dekho in baasī kaliyoñ pattī pattī murjhā.ī hai

    vo raat suhānī biit chukī aa pahuñchī sub.h-e-judā.ī hai

    ab mujh ko yahāñ se jaanā hai pur-shauq nigāho mat roko

    o mere gale meñ laTkī huī lachkīlī baaho mat roko

    in uljhī uljhī zulfoñ meñ dil apnā bisāre jaatā huuñ

    in mīThī mīThī nazroñ yādoñ ke sahāre jaatā huuñ

    jaatā huuñ ijāzat vo dekho ġhurfe se shuā.eñ jhalkī haiñ

    pighle hue sone lahreñ mīnā-e-shafaq se chhalkī haiñ

    khetoñ meñ kisī charvāhe ne bansī taan uḌaa.ī hai

    ek ek rasīlī sur jis paiġhām safar laa.ī hai

    majbūr huuñ maiñ jaanā jo huā dil maane na maane jaatā huuñ

    duniyā añdherī ghāTī meñ ab Thokareñ khāne jaatā huuñ

    ab dhundli paDti jati hai tariki-e-shab main jata hun

    wo subh ka tara ubhra wo pau phuTi ab main jata hun

    jata hun ijazat jaane do wo dekho ujale chhane ko hain

    suraj ki sunahri kirnon ke KHamosh bulawe aane ko hain

    wo phulon ke gajre jo tum kal sham piro kar lai thin

    wo kaliyan jin se tum ne ye rangin sijen mahkai thin

    dekho in basi kaliyon ki patti patti murjhai hai

    wo raat suhani bit chuki aa pahunchi subh-e-judai hai

    ab mujh ko yahan se jaana hai pur-shauq nigaho mat roko

    o mere gale mein laTki hui lachkili baho mat roko

    in uljhi uljhi zulfon mein dil apna bisare jata hun

    in miThi miThi nazron ki yaadon ke sahaare jata hun

    jata hun ijazat wo dekho ghurfe se shuaen jhalki hain

    pighle hue sone ki lahren mina-e-shafaq se chhalki hain

    kheton mein kisi charwahe ne bansi ki tan uDai hai

    ek ek rasili sur jis ki paigham safar ka lai hai

    majbur hun main jaana jo hua dil mane na mane jata hun

    duniya ki andheri ghaTi mein ab Thokaren khane jata hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now