Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-e-KHub-surat

Fatima Mehru

subh-e-KHub-surat

Fatima Mehru

MORE BYFatima Mehru

    vo apnī pasandīda lipstick

    pistaul nok se lagātī hai

    ka.ī tarah ke pasīnoñ ḳhushbuoñ se

    us dressing Table bharī rahtī hai

    use lifāfoñ ko bosoñ se

    band karne purānī aadat hai

    ḳhvāh Dākiya unheñ ḳhud paḌh le

    us almārī

    jaag kar badle jaane vaale kapḌoñ se

    ḳhālī ḳhālī

    chāñd use apne māthe

    aur sitāre kalā.ī par bāñdhne se fursat nahīñ

    nāshte mez par aḳhbār meñ use

    guzishta shab surḳhī pasand hai

    aur ḳhādimoñ meñ kutte

    kisī na.e mehmān ko ḳhush-āmdīd kahne ko

    har brand cigarette

    us ne shaam se pahle le rakhā hai

    vo alcohol botal

    apne bed ke baa.eñ taraf

    khiḌkī ke sāmne chhupā.e rakhtī hai

    raat ga.e ek seb aur ḳhanjar

    us ke sirhāne chamakte haiñ

    aur añdhere us libās bane

    saarī raat badan chaaT kar

    sub.h raushnī tayyār karte rahte haiñ

    wo apni pasandida lipstick

    pistaul ki nok se lagati hai

    kai tarah ke pasinon ki KHushbuon se

    us ki dressing Table bhari rahti hai

    use lifafon ko boson se

    band karne ki purani aadat hai

    KHwah Dakiya unhen KHud paDh le

    us ki almari

    jag kar badle jaane wale kapDon se

    KHali KHali

    chand use apne mathe

    aur sitare kalai par bandhne se fursat nahin

    nashte ki mez par aKHbar mein use

    guzishta shab ki surKHi pasand hai

    aur KHadimon mein kutte

    kisi nae mehman ko KHush-amdid kahne ko

    har brand ka cigarette

    us ne sham se pahle hi le rakha hai

    wo alcohol ki botal

    apne bed ke baen taraf

    khiDki ke samne chhupae rakhti hai

    raat gae ek seb aur KHanjar

    us ke sirhane chamakte hain

    aur andhere us ka libas bane

    sari raat badan chaT kar

    subh ki raushni tayyar karte rahte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now