subh-e-sadiq
Interesting Fact
(Guru Nanak Dev Ji)
rah gayā raah meñ jab kuchh bhī na kāñToñ ke sivā
tīrgī jhuuT kī jab chhā ga.ī sachchā.ī par
ufuq-e-zinda-o-pā.inda-e-nankāna se
hañs paḌī ek kiran vaqt kī tanhā.ī par
dil ke sunsān khañDar meñ koī naġhma jaagā
aañkh maltī huī ik sub.h bayābāñ se uThī
fikr āzād huī zehn ke jaale TuuTe
aur īqān kī lau sīnā-e-insāñ se uThī
zahr meñ Duub ga.ī thiiñ jo zabāneñ yaksar
un pe shīrīnī-e-vahdat ke tarāne aa.e
jism martā hai magar ruuh kahāñ martī hai
ruuh ik nuur hai aur jism thirakte saa.e
jism kāñToñ se guzartā hai guzar jaane do
ruuh vo phuul hai jis par na ḳhizāñ aa.egī
ruuh pī legī jo irfān-o-mohabbat kī sharāb
mastī-o-kaif hamesha ke liye pā.egī
pīr-e-nañgāna tirī rūh-e-sadāqat ko salām
jāvedāñ parcham-e-ulfat tirā lahrātā hai
rah gaya rah mein jab kuchh bhi na kanTon ke siwa
tirgi jhuT ki jab chha gai sachchai par
ufuq-e-zinda-o-painda-e-nankana se
hans paDi ek kiran waqt ki tanhai par
dil ke sunsan khanDar mein koi naghma jaga
aankh malti hui ek subh bayaban se uThi
fikr aazad hui zehn ke jale TuTe
aur iqan ki lau sina-e-insan se uThi
zahr mein Dub gai thin jo zabanen yaksar
un pe shirini-e-wahdat ke tarane aae
jism marta hai magar ruh kahan marti hai
ruh ek nur hai aur jism thirakte sae
jism kanTon se guzarta hai guzar jaane do
ruh wo phul hai jis par na KHizan aaegi
ruh pi legi jo irfan-o-mohabbat ki sharab
masti-o-kaif hamesha ke liye paegi
pir-e-nangana teri ruh-e-sadaqat ko salam
jawedan parcham-e-ulfat tera lahraata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.